ghuroor-e-jalwa-e-irfaan hai dekhiye kya ho
bade andhere mein insaan hai dekhiye kya ho
chale hain todne zindaan ko chand deewane
sawaal-e-azmat-e-zindaan hai dekhiye kya ho
qareeb-e-shaadi-e-marg aa chala hai deewaana
naqaab silsila-jumbaan hai dekhiye kya ho
sadaqatein bhi hain ab ittihaam ki zad par
bashar bashar se gurezaan hai dekhiye kya ho
hawaaein rukh to badlne lagi hain ai ghausi
shabaab-e-jashn-e-charaaghaan hai dekhiye kya ho
ग़ुरूर-ए-जल्वा-ए-इरफ़ाँ है देखिए क्या हो
बड़े अँधेरे में इंसाँ है देखिए क्या हो
चले हैं तोड़ने ज़िंदाँ को चंद दीवाने
सवाल-ए-अज़्मत-ए-ज़िंदाँ है देखिए क्या हो
क़रीब-ए-शादी-ए-मर्ग आ चला है दीवाना
नक़ाब सिलसिला-जुम्बाँ है देखिए क्या हो
सदाक़तें भी हैं अब इत्तिहाम की ज़द पर
बशर बशर से गुरेज़ाँ है देखिए क्या हो
हवाएँ रुख़ तो बदलने लगी हैं ऐ 'ग़ौसी'
शबाब-ए-जश्न-ए-चराग़ाँ है देखिए क्या हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghaus Mohammad Ghausi
our suggestion based on Ghaus Mohammad Ghausi
As you were reading Eid Shayari Shayari