na hote shaad aaina-e-gulistaan dekhne waale | न होते शाद आईन-ए-गुलिस्ताँ देखने वाले

  - Ghaus Mohammad Ghausi

na hote shaad aaina-e-gulistaan dekhne waale
fasana bhi agar padh lete unwaan dekhne waale

halaakat-khez ejaadon pe duniya fakhr karti hai
kahaan hain irtiqa-e-nau-e-insaan dekhne waale

jo mumkin ho tum apne haath ki rekha khurch daalo
ki ham hain to sahi khwaab-e-pareshaan dekhne waale

ye rakhne hain ye dar hain ye tire ajdaad ke sar hain
idhar aa kitaba-e-deewar-e-zindaan dekhne waale

tulu-e-aftaab-e-aagahi kya khaak dekhenge
hiqaarat se mera chaak-e-garebaan dekhne waale

to phir kaisi nazar-bandi tilsimaat-e-tadabbur kya
jo khud ko dekh len jashn-e-charaagaan dekhne waale

shikast-e-zauq-e-nazzara muqaddar hi sahi ghausi
unhen dekhenge phir bhi ta-b-imkaan dekhne waale

न होते शाद आईन-ए-गुलिस्ताँ देखने वाले
फ़साना भी अगर पढ़ लेते उनवाँ देखने वाले

हलाकत-ख़ेज़ ईजादों पे दुनिया फ़ख़्र करती है
कहाँ हैं इर्तिक़ा-ए-नौ-ए-इंसाँ देखने वाले

जो मुमकिन हो तुम अपने हाथ की रेखा खुरच डालो
कि हम हैं तो सही ख़्वाब-ए-परेशाँ देखने वाले

ये रख़्ने हैं ये दर हैं ये तिरे अज्दाद के सर हैं
इधर आ कतबा-ए-दीवार-ए-ज़िंदाँ देखने वाले

तुलू-ए-आफ़्ताब-ए-आगही क्या ख़ाक देखेंगे
हिक़ारत से मिरा चाक-ए-गरेबाँ देखने वाले

तो फिर कैसी नज़र-बंदी तिलसिमात-ए-तदब्बुर क्या
जो ख़ुद को देख लें जश्न-ए-चराग़ाँ देखने वाले

शिकस्त-ए-ज़ौक़-ए-नज़्ज़ारा मुक़द्दर ही सही 'ग़ौसी'
उन्हें देखेंगे फिर भी ता-ब-इम्काँ देखने वाले

  - Ghaus Mohammad Ghausi

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghaus Mohammad Ghausi

As you were reading Shayari by Ghaus Mohammad Ghausi

Similar Writers

our suggestion based on Ghaus Mohammad Ghausi

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari