hayaat-e-ishq ko itna to noor-faam karein
mah-o-nujoom adab se jise salaam karein
nazar mila ke jo karte hain baat suraj se
vo doobte hue taaron se kya kalaam karein
abhi to waqt hai tazeen-e-mai-kada ke liye
bajaae rakhna-gari mil ke koi kaam karein
utho utho ki mashaagil hain aur bhi yaaro
fasaana-e-gham-e-maazi yahin tamaam karein
bulandiyon se pukaara gaya hai yun ghausi
ki ahl-e-ishq bhi haasil koi maqaam karein
हयात-ए-इश्क़ को इतना तो नूर-फ़ाम करें
मह-ओ-नुजूम अदब से जिसे सलाम करें
नज़र मिला के जो करते हैं बात सूरज से
वो डूबते हुए तारों से क्या कलाम करें
अभी तो वक़्त है तज़ईन-ए-मै-कदा के लिए
बजाए रख़ना-गरी मिल के कोई काम करें
उठो उठो कि मशाग़िल हैं और भी यारो
फ़साना-ए-ग़म-ए-माज़ी यहीं तमाम करें
बुलंदियों से पुकारा गया है यूँ 'ग़ौसी'
कि अहल-ए-इश्क़ भी हासिल कोई मक़ाम करें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghaus Mohammad Ghausi
our suggestion based on Ghaus Mohammad Ghausi
As you were reading Chehra Shayari Shayari