jo misl-e-teer chala tha kamaan sa kham hai
nigaah-e-dost mein taaseer-e-ism-e-aazam hai
khusa ki vo hain mere roo-b-roo b-nafs-e-nafees
zahe ki aaj meri aarzoo mujassam hai
muheet-e-husn-e-karaan-ta-karaan nahin na sahi
bisaat-e-sheesha-e-dil jis qadar hai taaham hai
ana-pasand ana ke nashe mein bhool gaye
ye shahad vo hai ki jis ke khameer mein sam hai
hawa se karta hai baatein tiri mahak pa kar
tire ghazaal-e-junoon mein bala ka dam-kham hai
ye rang-o-noor ye khushboo ye kaif-saamaani
hareem-e-naaz hai ya aalimon ka aalam hai
na ja tabassum-e-lab-ha-e-khushk par ai dost
hasi nahin ye tarqqi pasand maatam hai
to kya charaagh-e-tamanna ka main muhaafiz hoon
jab un ko fikr nahin hai yahin kise gham hai
mera mizaaj hai yaaron pe vaar doon khud ko
mera vujood bhi angushtari ka neelam hai
dhuaan dhuaan nazar aati hai bazm-e-fan ghausi
yahan charaagh ziyaada hain raushni kam hai
जो मिस्ल-ए-तीर चला था कमान सा ख़म है
निगाह-ए-दोस्त में तासीर-ए-इस्म-ए-आज़म है
ख़ुशा कि वो हैं मिरे रू-ब-रू ब-नफ़्स-ए-नफ़ीस
ज़हे कि आज मिरी आरज़ू मुजस्सम है
मुहीत-ए-हुस्न-ए-कराँ-ता-कराँ नहीं न सही
बिसात-ए-शीशा-ए-दिल जिस क़दर है ताहम है
अना-पसंद अना के नशे में भूल गए
ये शहद वो है कि जिस के ख़मीर में सम है
हवा से करता है बातें तिरी महक पा कर
तिरे ग़ज़ाल-ए-जुनूँ में बला का दम-ख़म है
ये रंग-ओ-नूर ये ख़ुश्बू ये कैफ़-सामानी
हरीम-ए-नाज़ है या आलिमों का आलम है
न जा तबस्सुम-ए-लब-हा-ए-ख़ुश्क पर ऐ दोस्त
हँसी नहीं ये तरक़्क़ी पसंद मातम है
तो क्या चराग़-ए-तमन्ना का मैं मुहाफ़िज़ हूँ
जब उन को फ़िक्र नहीं है यहीं किसे ग़म है
मिरा मिज़ाज है यारों पे वार दूँ ख़ुद को
मिरा वजूद भी अंगुश्तरी का नीलम है
धुआँ धुआँ नज़र आती है बज़्म-ए-फ़न 'ग़ौसी'
यहाँ चराग़ ज़ियादा हैं रौशनी कम है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghaus Mohammad Ghausi
our suggestion based on Ghaus Mohammad Ghausi
As you were reading Udasi Shayari Shayari