hisaar-e-kaasa-e-sar tod kar nikal aaye
talab hui thi to sajdon ke par nikal aaye
har ik zameer se parda utha gaye patthar
kisi ke aib kisi ke hunar nikal aaye
sanwar sanwar ke mashiyyat sanwaarti hai jinhen
idhar to koi nahin ham kidhar nikal aaye
mera kharosh-e-junoon jab bhi rang-paash hua
meri taraf nigaraan kitne dar nikal aaye
kahaan hai holi jo dekhe b-yak-karishma do-kaar
ghire the aag mein ham bhi magar nikal aaye
b-ein-nazaakat-e-takhliq thokren khaane
ye pattharon mein kahaan sheeshaagar nikal aaye
faraaz-e-manzil-e-raf-raf sawaargi saugand
khala mein aur baseerat ke par nikal aaye
lab-e-furaat ajab shaan-e-sarfarazi thi
gumaan tha dasht mein nezon ke sar nikal aaye
hai aagahi bhi agar jaan-gusil to ho ghausi
hareem-e-be-khabri se magar nikal aaye
हिसार-ए-कासा-ए-सर तोड़ कर निकल आए
तलब हुई थी तो सज्दों के पर निकल आए
हर इक ज़मीर से पर्दा उठा गए पत्थर
किसी के ऐब किसी के हुनर निकल आए
सँवर सँवर के मशिय्यत सँवारती है जिन्हें
इधर तो कोई नहीं हम किधर निकल आए
मिरा ख़रोश-ए-जुनूँ जब भी रंग-पाश हुआ
मिरी तरफ़ निगराँ कितने दर निकल आए
कहाँ है होली जो देखे ब-यक-करिश्मा दो-कार
घिरे थे आग में हम भी मगर निकल आए
ब-ईं-नज़ाकत-ए-तख़्लीक़ ठोकरें खाने
ये पत्थरों में कहाँ शीशागर निकल आए
फ़राज़-ए-मंज़िल-ए-रफ-रफ सवारगी सौगंद
ख़ला में और बसीरत के पर निकल आए
लब-ए-फ़ुरात अजब शान-ए-सरफ़राज़ी थी
गुमाँ था दश्त में नेज़ों के सर निकल आए
है आगही भी अगर जाँ-गुसिल तो हो 'ग़ौसी'
हरीम-ए-बे-ख़बरी से मगर निकल आए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghaus Mohammad Ghausi
our suggestion based on Ghaus Mohammad Ghausi
As you were reading Attitude Shayari Shayari