chal diya naaz zamaane ke uthaane waala
saare ghar le gaya ghar chhod ke jaane waala
aankh pur-nam hai yahi soch ke ahl-e-dil ki
laut kar ab nahin aayega hansaane waala
baat to karte hain sab log wafa ki lekin
kis ne dekha hai kahaan par hai nibhaane waala
ab pareshaan sa firta hai zamaane bhar mein
zakhm-e-dil par mere tezaab lagaane waala
shukr-e-rab hai meri phoolon pe guzaari us ne
aag pe soya hai baarood bichaane waala
ham ne dekha hai shab-o-roz zamaane mein sabeen
surkh-roo hota hai sajdon ko sajaane waala
चल दिया नाज़ ज़माने के उठाने वाला
सारे घर ले गया घर छोड़ के जाने वाला
आँख पुर-नम है यही सोच के अहल-ए-दिल की
लौट कर अब नहीं आएगा हँसाने वाला
बात तो करते हैं सब लोग वफ़ा की लेकिन
किस ने देखा है कहाँ पर है निभाने वाला
अब परेशान सा फिरता है ज़माने भर में
ज़ख़्म-ए-दिल पर मिरे तेज़ाब लगाने वाला
शुक्र-ए-रब है मिरी फूलों पे गुज़ारी उस ने
आग पे सोया है बारूद बिछाने वाला
हम ने देखा है शब-ओ-रोज़ ज़माने में 'सबीन'
सुर्ख़-रू होता है सज्दों को सजाने वाला
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghausiya Khan Sabeen
our suggestion based on Ghausiya Khan Sabeen
As you were reading Adaa Shayari Shayari