aisi tahreer jo aansu ki jhadi saabit ho | ऐसी तहरीर जो आँसू की झड़ी साबित हो

  - Ghazal Ansari

aisi tahreer jo aansu ki jhadi saabit ho
phir tavakko ki mohabbat bhi kaddi saabit ho

kyun bichaate ho meri raah mein lafzi kaante
do vo paighaam jo moti ki ladi saabit ho

teri shamsheer ka shaakh-e-gul-e-ulfat pe ho vaar
kaise mumkin ki vo phoolon ki chhadi saabit ho

be-niyaazi tiri badhti hi rahi roz-o-shab
teri furqat mein koi achhi ghadi saabit ho

maut aani hai to aa jaaye kisi din lekin
zindagi bhi kabhi raahon mein padi saabit ho

kaash aa jaaye yaqeen meri mohabbat ka tujhe
meri chaahat tiri har shay se badi saabit ho

rooth kar jab main chaloon raah-e-adam ki jaanib
raah roke tiri awaaz khadi saabit ho

dil mein chaahat hai ghazal sirf tujhe paane ki
koi to vasl ki anmol ghadi saabit ho

ऐसी तहरीर जो आँसू की झड़ी साबित हो
फिर तवक़्क़ो कि मोहब्बत भी कड़ी साबित हो

क्यों बिछाते हो मिरी राह में लफ़्ज़ी काँटे
दो वो पैग़ाम जो मोती की लड़ी साबित हो

तेरी शमशीर का शाख़-ए-गुल-ए-उल्फ़त पे हो वार
कैसे मुमकिन कि वो फूलों की छड़ी साबित हो

बे-नियाज़ी तिरी बढ़ती ही रही रोज़-ओ-शब
तेरी फ़ुर्क़त में कोई अच्छी घड़ी साबित हो

मौत आनी है तो आ जाए किसी दिन लेकिन
ज़िंदगी भी कभी राहों में पड़ी साबित हो

काश आ जाए यक़ीं मेरी मोहब्बत का तुझे
मेरी चाहत तिरी हर शय से बड़ी साबित हो

रूठ कर जब मैं चलूँ राह-ए-अदम की जानिब
राह रोके तिरी आवाज़ खड़ी साबित हो

दिल में चाहत है 'ग़ज़ल' सिर्फ़ तुझे पाने की
कोई तो वस्ल की अनमोल घड़ी साबित हो

  - Ghazal Ansari

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghazal Ansari

As you were reading Shayari by Ghazal Ansari

Similar Writers

our suggestion based on Ghazal Ansari

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari