bhulaana hai bahut mushkil magar phir bhi bhulaana hai | भुलाना है बहुत मुश्किल मगर फिर भी भुलाना है

  - Ghazal Ansari

bhulaana hai bahut mushkil magar phir bhi bhulaana hai
tiri yaadon ko dil se ab to har soorat mitaana hai

bahut ruswaaiyaan sah len dil-e-barbaad ki khaatir
magar ulfat panap sakti nahin aisa zamaana hai

mera daaman pakad leti hain vo ma'soom si yaadein
mere jeevan mein teri yaad hi waahid khazana hai

tu aankhon mein tu yaadon mein tu har dam mere khwaabon mein
khule jab aankh to har soo wahi manzar puraana hai

milaaye ishq jo rab se ghazal hai ishq vo saccha
khuda se lau laga le phir nahin kuchh yaad aana hai

भुलाना है बहुत मुश्किल मगर फिर भी भुलाना है
तिरी यादों को दिल से अब तो हर सूरत मिटाना है

बहुत रुस्वाइयाँ सह लें दिल-ए-बर्बाद की ख़ातिर
मगर उल्फ़त पनप सकती नहीं ऐसा ज़माना है

मिरा दामन पकड़ लेती हैं वो मा'सूम सी यादें
मिरे जीवन में तेरी याद ही वाहिद ख़ज़ाना है

तू आँखों में तू यादों में तू हर दम मेरे ख़्वाबों में
खुले जब आँख तो हर सू वही मंज़र पुराना है

मिलाए इश्क़ जो रब से 'ग़ज़ल' है इश्क़ वो सच्चा
ख़ुदा से लौ लगा ले फिर नहीं कुछ याद आना है

  - Ghazal Ansari

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghazal Ansari

As you were reading Shayari by Ghazal Ansari

Similar Writers

our suggestion based on Ghazal Ansari

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari