ab zindagi ka koi sahaara nahin raha
sab gair hain koi bhi hamaara nahin raha
aghyaar ki nazar mein rahe misl-e-khaar ham
ab jeena jaagna bhi hamaara nahin raha
soobaai asbiyat ne khilaaye kuchh aise gul
ab bhaai bhaai ka bhi sahaara nahin raha
ab to hamaari naav hai tugyaaniyon ke beech
nazdeek-o-door koi kinaara nahin raha
khoon-e-jigar se seencha tha ham ne jo ik shajar
haan ab to vo shajar bhi hamaara nahin raha
chun chun ke tinke ham ne banaya tha aashiyaan
ye kya gazab vo ghar bhi hamaara nahin raha
maazi ki kuchh haseen si yaadein hi rah gaeein
aankhon mein aur koi nazaara nahin raha
ahl-e-chaman ye kahte hain aage badhoon ghazal
ab koi haq chaman ye tumhaara nahin raha
अब ज़िंदगी का कोई सहारा नहीं रहा
सब ग़ैर हैं कोई भी हमारा नहीं रहा
अग़्यार की नज़र में रहे मिस्ल-ए-ख़ार हम
अब जीना जागना भी हमारा नहीं रहा
सूबाई असबियत ने खिलाए कुछ ऐसे गुल
अब भाई भाई का भी सहारा नहीं रहा
अब तो हमारी नाव है तुग़्यानियों के बीच
नज़दीक-ओ-दूर कोई किनारा नहीं रहा
ख़ून-ए-जिगर से सींचा था हम ने जो इक शजर
हाँ अब तो वो शजर भी हमारा नहीं रहा
चुन चुन के तिनके हम ने बनाया था आशियाँ
ये क्या ग़ज़ब वो घर भी हमारा नहीं रहा
माज़ी की कुछ हसीन सी यादें ही रह गईं
आँखों में और कोई नज़ारा नहीं रहा
अहल-ए-चमन ये कहते हैं आगे बढ़ूँ 'ग़ज़ल'
अब कोई हक़ चमन ये तुम्हारा नहीं रहा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghazal Ansari
our suggestion based on Ghazal Ansari
As you were reading Aankhein Shayari Shayari