kab se banjar thi nazar khwaab to aaya
shukr hai dasht mein sailaab to aaya
raushni le ke aqeedon ke khandar mein
makr odhe sahi mahtaab to aaya
kashti-e-jaan ko ye taskin bahut hai
khairiyat poochne girdaab to aaya
daulat ishq ganwa kar sahi amjad
fahm mein nukta-e-aadaab to aaya
कब से बंजर थी नज़र ख़्वाब तो आया
शुक्र है दश्त में सैलाब तो आया
रौशनी ले के अक़ीदों के खंडर में
मक्र ओढ़े सही महताब तो आया
कश्ती-ए-जाँ को ये तस्कीन बहुत है
ख़ैरियत पूछने गिर्दाब तो आया
दौलत इश्क़ गँवा कर सही 'अमजद'
फ़हम में नुक्ता-ए-आदाब तो आया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghufran Amjad
our suggestion based on Ghufran Amjad
As you were reading Ulfat Shayari Shayari