masafat ki garaan har ek sa'at toot jaati hai
tiri chashm-e-inaayat se aziyyat toot jaati hai
tiri yaadon ki soorat se nikalti hai ajab soorat
ujaale yun barsate hain ki zulmat toot jaati hai
sada-e-haq-shanasi gasht karti rahti hai lekin
zamaana ye samajhta hai sadaqat toot jaati hai
bara-e-jazba-saazi kuchh dikhaava ho magar yaaro
riya-kaari bartane se ibadat toot jaati hai
ghazal mein jiddat-o-nudrat zaroori hai bahut amjad
magar fanni bukhaalat se salaasat toot jaati hai
मसाफ़त की गराँ हर एक साअ'त टूट जाती है
तिरी चश्म-ए-इनायत से अज़िय्यत टूट जाती है
तिरी यादों की सूरत से निकलती है अजब सूरत
उजाले यूँ बरसते हैं कि ज़ुल्मत टूट जाती है
सदा-ए-हक़-शनासी गश्त करती रहती है लेकिन
ज़माना ये समझता है सदाक़त टूट जाती है
बरा-ए-जज़्बा-साज़ी कुछ दिखावा हो मगर यारो
रिया-कारी बरतने से इबादत टूट जाती है
ग़ज़ल में जिद्दत-ओ-नुदरत ज़रूरी है बहुत 'अमजद'
मगर फ़न्नी बुख़ालत से सलासत टूट जाती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghufran Amjad
our suggestion based on Ghufran Amjad
As you were reading Ibaadat Shayari Shayari