koi do-chaar nahin mahv-e-tamaasha sab hain | कोई दो-चार नहीं महव-ए-तमाशा सब हैं

  - Ghufran Amjad

koi do-chaar nahin mahv-e-tamaasha sab hain
mere ehsaas ki awaaz pe zinda sab hain

koi jugnoo koi taara koi suraj koi chaand
aur ajab baat ki mahroom-e-ujalaa sab hain

us jagah bhi na hui dard ki lazzat mehsoos
main samajhta tha jahaan mere shanaasa sab hain

yusuf-e-waqt pareshaan na hote kyunkar
koi ungli na kati aur zulekha sab hain

arsa-e-hashr ki tasveer ajab hai amjad
be-karaan bheed hai aur bheed mein tanhaa sab hain

कोई दो-चार नहीं महव-ए-तमाशा सब हैं
मेरे एहसास की आवाज़ पे ज़िंदा सब हैं

कोई जुगनू कोई तारा कोई सूरज कोई चाँद
और अजब बात कि महरूम-ए-उजाला सब हैं

उस जगह भी न हुई दर्द की लज़्ज़त महसूस
मैं समझता था जहाँ मेरे शनासा सब हैं

यूसुफ़-ए-वक़्त परेशान न होते क्यूँकर
कोई उँगली न कटी और ज़ुलेख़ा सब हैं

अर्सा-ए-हश्र की तस्वीर अजब है 'अमजद'
बे-कराँ भीड़ है और भीड़ में तन्हा सब हैं

  - Ghufran Amjad

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghufran Amjad

As you were reading Shayari by Ghufran Amjad

Similar Writers

our suggestion based on Ghufran Amjad

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari