dil ki mitti chupke chupke roti hai | दिल की मिट्टी चुपके चुपके रोती है

  - Ghufran Amjad

dil ki mitti chupke chupke roti hai
yaar kahi barsaat ghamon ki hoti hai

bechaini mein doobe jubba aur dastaar
faqa-masti chadar taan ke soti hai

pyaar mohabbat rishte naate peer faqeer
dekh ghareebi kya kya daulat khoti hai

tera chehra din ka dariya paar kare
raat ki saari halchal tujh se hoti hai

jis ko maajhi samjha us ki mallaahi
saahil saahil meri naav duboti hai

dharti ambar nadiya naale khaai pahaad
do misron mein kya kya rang samoti hai

us se amjad baatein karna khel hai kya
vo to lehje ki ik soi chubhoti hai

दिल की मिट्टी चुपके चुपके रोती है
यार कहीं बरसात ग़मों की होती है

बेचैनी में डूबे जुब्बा और दस्तार
फ़ाक़ा-मस्ती चादर तान के सोती है

प्यार मोहब्बत रिश्ते नाते पीर फ़क़ीर
देख ग़रीबी क्या क्या दौलत खोती है

तेरा चेहरा दिन का दरिया पार करे
रात की सारी हलचल तुझ से होती है

जिस को माझी समझा उस की मल्लाही
साहिल साहिल मेरी नाव डुबोती है

धरती अम्बर नदिया नाले खाई पहाड़
दो मिसरों में क्या क्या रंग समोती है

उस से 'अमजद' बातें करना खेल है क्या
वो तो लहजे की इक सोई चुभोती है

  - Ghufran Amjad

Kashmir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghufran Amjad

As you were reading Shayari by Ghufran Amjad

Similar Writers

our suggestion based on Ghufran Amjad

Similar Moods

As you were reading Kashmir Shayari Shayari