aaj unhen dekh liya bazm mein farzaanon ki | आज उन्हें देख लिया बज़्म में फ़र्ज़ानों की

  - Habab Tirmizi

aaj unhen dekh liya bazm mein farzaanon ki
ham ne taarif sooni thi tire deewaanon ki

deeda-war silsila-e-ashk samjhte hain jise
kahkashaan hai mere mehboob ke ehsaanon ki

tum ko aana hai to aa jaao ujaala hai abhi
shamaein raushan hain mere gham ke shabistaanon ki

mo'tariz hain meri deewana-washi par vo log
jin ko daaman ki khabar hai na garebaanon ki

ham hain may-khaana-e-fitrat ke sharaabi ham ko
na suraahi ki zaroorat hai na paimaanon ki

hans rahe ho to haso aur haso khoob haso
haalat-e-zaar pe ham be-sar-o-samaanon ki

ahad-e-haazir ke naye meer wahan honge habaab
mujh ko mehfil mein na le jaao sukhandaano ki

आज उन्हें देख लिया बज़्म में फ़र्ज़ानों की
हम ने तारीफ़ सुनी थी तिरे दीवानों की

दीदा-वर सिलसिला-ए-अश्क समझते हैं जिसे
कहकशाँ है मिरे महबूब के एहसानों की

तुम को आना है तो आ जाओ उजाला है अभी
शमएँ रौशन हैं मिरे ग़म के शबिस्तानों की

मो'तरिज़ हैं मिरी दीवाना-वशी पर वो लोग
जिन को दामन की ख़बर है न गरेबानों की

हम हैं मय-ख़ाना-ए-फ़ितरत के शराबी हम को
न सुराही की ज़रूरत है न पैमानों की

हँस रहे हो तो हँसो और हँसो ख़ूब हँसो
हालत-ए-ज़ार पे हम बे-सर-ओ-सामानों की

अहद-ए-हाज़िर के नए 'मीर' वहाँ होंगे 'हबाब'
मुझ को महफ़िल में न ले जाओ सुख़न-दानों की

  - Habab Tirmizi

Nasha Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habab Tirmizi

As you were reading Shayari by Habab Tirmizi

Similar Writers

our suggestion based on Habab Tirmizi

Similar Moods

As you were reading Nasha Shayari Shayari