tamaam raat bujhenge na mere ghar ke charaagh | तमाम रात बुझेंगे न मेरे घर के चराग़

  - Habab Tirmizi

tamaam raat bujhenge na mere ghar ke charaagh
ki ye charaagh hain khoon-e-dil-o-jigar ke charaagh

in aansuon ko sitaare salaam karte hain
bujha sako to bujha do ye chashm-e-tar ke charaagh

hua na aisa charaaghaan kabhi sar-e-maqtal
hateliyon pe hain raushan bureeda-sar ke charaagh

unhin pe chalne se manzil milegi ham-safaro
ye naqsh-e-paa hain kisi ke ki raahguzaar ke charaagh

is anjuman mein ujaala rahega sadiyon tak
jala raha hoon musalsal dil-o-nazar ke charaagh

ye laal-qil'a ye deewar-e-cheen ye taaj-mahal
ye sab ke sab hain jalaae hue bashar ke charaagh

habaab shahr-e-saba mein vo qumqumon ki bahaar
gali gali mein farozaan the seem-o-zar ke charaagh

तमाम रात बुझेंगे न मेरे घर के चराग़
कि ये चराग़ हैं ख़ून-ए-दिल-ओ-जिगर के चराग़

इन आँसुओं को सितारे सलाम करते हैं
बुझा सको तो बुझा दो ये चश्म-ए-तर के चराग़

हुआ न ऐसा चराग़ाँ कभी सर-ए-मक़्तल
हथेलियों पे हैं रौशन बुरीदा-सर के चराग़

उन्हीं पे चलने से मंज़िल मिलेगी हम-सफ़रो
ये नक़्श-ए-पा हैं किसी के कि रहगुज़र के चराग़

इस अंजुमन में उजाला रहेगा सदियों तक
जला रहा हूँ मुसलसल दिल-ओ-नज़र के चराग़

ये लाल-क़िलअ' ये दीवार-ए-चीं ये ताज-महल
ये सब के सब हैं जलाए हुए बशर के चराग़

'हबाब' शहर-ए-सबा में वो क़ुमक़ुमों की बहार
गली गली में फ़रोज़ाँ थे सीम-ओ-ज़र के चराग़

  - Habab Tirmizi

Ujaala Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habab Tirmizi

As you were reading Shayari by Habab Tirmizi

Similar Writers

our suggestion based on Habab Tirmizi

Similar Moods

As you were reading Ujaala Shayari Shayari