jab bhi us ki khwaahish rakhna
achha hai kuchh daanish rakhna
laakh man' kar dene par bhi
jaari apni koshish rakhna
main ne mohabbat sikhlaai thi
seekha kis ne ranjish rakhna
dil mandir masjid jaisa hai
dil mein na koi saazish rakhna
khwaahish mein sar bhi jaate hain
soch samajh kar khwaahish rakhna
chaahat ka matlab hota hai
dil mein zinda aatish rakhna
hans dene par us ke aage
koi mat farmaaish rakhna
जब भी उस की ख़्वाहिश रखना
अच्छा है कुछ दानिश रखना
लाख मनअ' कर देने पर भी
जारी अपनी कोशिश रखना
मैं ने मोहब्बत सिखलाई थी
सीखा किस ने रंजिश रखना
दिल मंदिर मस्जिद जैसा है
दिल में न कोई साज़िश रखना
ख़्वाहिश में सर भी जाते हैं
सोच समझ कर ख़्वाहिश रखना
चाहत का मतलब होता है
दिल में ज़िंदा आतिश रखना
हँस देने पर उस के आगे
कोई मत फ़रमाइश रखना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Habeeb Kaifi
our suggestion based on Habeeb Kaifi
As you were reading Mehnat Shayari Shayari