main ne iraada jab bhi kiya hai udaan ka
us ko khayal aaya hai teer-o-kamaan ka
aaye khayal apni zameen ka bhi kuchh unhen
rakhte hain dard dil mein jo saare jahaan ka
phir shehr-e-dostan ki taraf gaamzan hoon main
go jaanta hoon shehar mein khatra hai jaan ka
ham ko zameen se khoob-tar aaya na kuchh nazar
chakkar laga ke dekh chuke aasmaan ka
az-khud hi khwaahishein meri mahdood ho gaeein
aaya khayal jab mujhe apne makaan ka
मैं ने इरादा जब भी किया है उड़ान का
उस को ख़याल आया है तीर-ओ-कमान का
आए ख़याल अपनी ज़मीं का भी कुछ उन्हें
रखते हैं दर्द दिल में जो सारे जहान का
फिर शहर-ए-दोस्ताँ की तरफ़ गामज़न हूँ मैं
गो जानता हूँ शहर में ख़तरा है जान का
हम को ज़मीं से ख़ूब-तर आया न कुछ नज़र
चक्कर लगा के देख चुके आसमान का
अज़-ख़ुद ही ख़्वाहिशें मिरी महदूद हो गईं
आया ख़याल जब मुझे अपने मकान का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Habeeb Kaifi
our suggestion based on Habeeb Kaifi
As you were reading Khyaal Shayari Shayari