kya hoga jab mar jaayenge
apne apne ghar jaayenge
baat ko poshida rahne de
baat khuli to sar jaayenge
qatl kiye do-chaar to socha
ham bhi tujh se dar jaayenge
chaahne waale tere ik din
chaukhat par sar dhar jaayenge
us ki jaanib jaane waale
le kar jalte par jaayenge
sadiyaan yaad karengi ham ko
kaam aise kuchh kar jaayenge
ban jaayenge yaad ka hissa
jab ham tujh par mar jaayenge
jaisi paai ham ne tujh se
chadar waisi dhar jaayenge
क्या होगा जब मर जाएँगे
अपने अपने घर जाएँगे
बात को पोशीदा रहने दे
बात खुली तो सर जाएँगे
क़त्ल किए दो-चार तो सोचा
हम भी तुझ से डर जाएँगे
चाहने वाले तेरे इक दिन
चौखट पर सर धर जाएँगे
उस की जानिब जाने वाले
ले कर जलते पर जाएँगे
सदियाँ याद करेंगी हम को
काम ऐसे कुछ कर जाएँगे
बन जाएँगे याद का हिस्सा
जब हम तुझ पर मर जाएँगे
जैसी पाई हम ने तुझ से
चादर वैसी धर जाएँगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Habeeb Kaifi
our suggestion based on Habeeb Kaifi
As you were reading Promise Shayari Shayari