be-mahal hai guftugoo hain be-asar ashaar abhi
zindagi be-lutf hai na-pukhta hain afkaar abhi
poochte rahte hain ghairoon se abhi tak mera haal
aap tak pahunchen nahin shaayad mere ashaar abhi
zindagi guzri abhi is aag ke girdaab mein
dil se kyun jaane lagi hirs-e-lab-o-rukhsaar abhi
haan ye sach hai sar-b-sar khoye gaye hain aql-o-hosh
dil mein dhadkan hai abhi dil to hai khud-mukhtaar abhi
kyun na kar luun aur abhi sair-e-bahaar-laala-zaar
main nahin mehsoos karta hoon nahiif-o-zaar abhi
बे-महल है गुफ़्तुगू हैं बे-असर अशआर अभी
ज़िंदगी बे-लुत्फ़ है ना-पुख़्ता हैं अफ़्कार अभी
पूछते रहते हैं ग़ैरों से अभी तक मेरा हाल
आप तक पहुँचे नहीं शायद मिरे अशआर अभी
ज़िंदगी गुज़री अभी इस आग के गिर्दाब में
दिल से क्यूँ जाने लगी हिर्स-ए-लब-ओ-रुख़्सार अभी
हाँ ये सच है सर-ब-सर खोए गए हैं अक़्ल-ओ-होश
दिल में धड़कन है अभी दिल तो है ख़ुद-मुख़्तार अभी
क्यूँ न कर लूँ और अभी सैर-ए-बहार-लाला-ज़ार
मैं नहीं महसूस करता हूँ नहीफ़-ओ-ज़ार अभी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Habib Tanvir
our suggestion based on Habib Tanvir
As you were reading Aag Shayari Shayari