main nahin ja paaoonga yaaro soo-e-gulzaar abhi | मैं नहीं जा पाऊँगा यारो सू-ए-गुलज़ार अभी

  - Habib Tanvir

main nahin ja paaoonga yaaro soo-e-gulzaar abhi
dekhni hai aab-joo-e-zeest ki raftaar abhi

kar chuka hoon paar ye dariya na jaane kitni baar
paar ye dariya karunga aur kitni baar abhi

ghoom phir kar dasht-o-sehra phir wahin le aaye paanv
dil nahin hai shaayad is nazzare se be-zaar abhi

kaavish-e-paiham abhi ye silsila rukne na paaye
jaan abhi aankhon mein hai aur paanv mein raftaar abhi

ai mere armaan-e-dil bas ik zara kuchh aur sabr
raat abhi katne ko hai milne ko bhi hai yaar abhi

jazba-e-dil dekhna bhatka na dena raah se
muntazir hoga mera bhi khud mera dil-daar abhi

hongi to is rah-guzar mein bhi kameen-gaahein hazaar
phir bhi ye baar-e-safar kyun ho mujhe dushwaar abhi

मैं नहीं जा पाऊँगा यारो सू-ए-गुलज़ार अभी
देखनी है आब-जू-ए-ज़ीस्त की रफ़्तार अभी

कर चुका हूँ पार ये दरिया न जाने कितनी बार
पार ये दरिया करूँगा और कितनी बार अभी

घूम फिर कर दश्त-ओ-सहरा फिर वहीं ले आए पाँव
दिल नहीं है शायद इस नज़्ज़ारे से बे-ज़ार अभी

काविश-ए-पैहम अभी ये सिलसिला रुकने न पाए
जान अभी आँखों में है और पाँव में रफ़्तार अभी

ऐ मिरे अरमान-ए-दिल बस इक ज़रा कुछ और सब्र
रात अभी कटने को है मिलने को भी है यार अभी

जज़्बा-ए-दिल देखना भटका न देना राह से
मुंतज़िर होगा मिरा भी ख़ुद मिरा दिल-दार अभी

होंगी तो इस रह-गुज़र में भी कमीं-गाहें हज़ार
फिर भी ये बार-ए-सफ़र क्यूँ हो मुझे दुश्वार अभी

  - Habib Tanvir

Dosti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habib Tanvir

As you were reading Shayari by Habib Tanvir

Similar Writers

our suggestion based on Habib Tanvir

Similar Moods

As you were reading Dosti Shayari Shayari