khwaahish-e-mewa-e-tar ho ye zaroori to nahin | ख़्वाहिश-ए-मेवा-ए-तर हो ये ज़रूरी तो नहीं

  - Hadis Salsal

khwaahish-e-mewa-e-tar ho ye zaroori to nahin
har koi khuld-badar ho ye zaroori to nahin

tesha-e-gham ko sanam-saazi-e-hasti se garz
sang waabasta-e-dar ho ye zaroori to nahin

main hoon aalooda ba-khoon-e-jigar-o-khaak-e-jahaan
vo tiri raahguzar ho ye zaroori to nahin

kuchh jamaal-e-kam-o-kaj-beeni-e-khush-chashm bhi hai
sab tira husn-e-nazar ho ye zaroori to nahin

ai hunar-mand-e-jaraahat talab-e-khaama tujhe
daava-e-zakhm-e-hunar ho ye zaroori to nahin

raanda-e-halka-e-aaghosh pas andesh-e-jamaal
tera manzoor-e-nazar ho ye zaroori to nahin

lafz-e-sir mein mere eraab taraaz-e-mukhlis
zer ki ja pe zabar ho ye zaroori to nahin

ye bhi malzoom nahin to ho giriftaar-e-khird
mujh ko bhi apni khabar ho ye zaroori to nahin

baad-e-taqreeb-e-tamannaai-e-nazzaara-e-toor
taaqat-o-taab-e-nazar ho ye zaroori to nahin

aalam-e-be-khudi-e-ishrat-e-be-ghayat hai
rooh masroor magar ho ye zaroori to nahin

hai may-e-shauq mein aamezish-e-talkhab-e-gumaan
phir bhi takhfeef-e-asar ho ye zaroori to nahin

dil b-afzaish-e-khuddari-e-aahang-e-sukhan
khaaif-e-ahl-e-nazar ho ye zaroori to nahin

peeri-e-ishq se hoon sehat-e-ma'ashooq-shikaar
dil tawana-e-jigar ho ye zaroori to nahin

soorat-e-qurb-e-musalsal bhi nikal sakti hai
baam par umr basar ho ye zaroori to nahin

bas ki ik vasvasa-e-barg-e-khizaan-deeda hai
khuld-e-imkaan mein shajar ho ye ye zaroori to nahin

inhisaar-e-gham-e-hasti b-gham-e-marg-e-hawas
haadis'-e-khaak-basar ho ye zaroori to nahin

ख़्वाहिश-ए-मेवा-ए-तर हो ये ज़रूरी तो नहीं
हर कोई ख़ुल्द-बदर हो ये ज़रूरी तो नहीं

तेशा-ए-ग़म को सनम-साज़ी-ए-हस्ती से ग़रज़
संग वाबस्ता-ए-दर हो ये ज़रूरी तो नहीं

मैं हूँ आलूदा ब-ख़ून-ए-जिगर-ओ-ख़ाक-ए-जहाँ
वो तिरी राहगुज़र हो ये ज़रूरी तो नहीं

कुछ जमाल-ए-कम-ओ-कज-बीनी-ए-ख़ुश-चश्म भी है
सब तिरा हुस्न-ए-नज़र हो ये ज़रूरी तो नहीं

ऐ हुनर-मंद-ए-जराहत तलब-ए-ख़ामा तुझे
दावा-ए-ज़ख़्म-ए-हुनर हो ये ज़रूरी तो नहीं

रांदा-ए-हल्क़ा-ए-आग़ोश पस अंदेश-ए-जमाल
तेरा मंज़ूर-ए-नज़र हो ये ज़रूरी तो नहीं

लफ़्ज़-ए-सिर में मिरे एराब तराज़-ए-मुख़्लिस
ज़ेर की जा पे ज़बर हो ये ज़रूरी तो नहीं

ये भी मलज़ूम नहीं तो हो गिरफ़्तार-ए-ख़िरद
मुझ को भी अपनी ख़बर हो ये ज़रूरी तो नहीं

बाद-ए-तक़रीब-ए-तमन्नाई-ए-नज़्जारा-ए-तूर
ताक़त-ओ-ताब‌‌‌-ए-नज़र हो ये ज़रूरी तो नहीं

आलम-ए-बे-ख़ुदी-ए-इशरत-ए-बे-ग़ायत है
रूह मसरूर मगर हो ये ज़रूरी तो नहीं

है मय-ए-शौक़ में आमेज़िश-ए-तलख़ाब-ए-गुमाँ
फिर भी तख़फ़ीफ़-ए-असर हो ये ज़रूरी तो नहीं

दिल ब-अफ़्ज़ाइश-ए-ख़ुद्दारी-ए-आहंग-ए-सुख़न
ख़ाएफ़-ए-अहल-ए-नज़र हो ये ज़रूरी तो नहीं

पीरी-ए-इश्क़ से हूँ सेहत-ए-मा'शूक़-शिकार
दिल तवाना-ए-जिगर हो ये ज़रूरी तो नहीं

सूरत-ए-क़ुर्ब-ए-मुसलसल भी निकल सकती है
बाम पर उम्र बसर हो ये ज़रूरी तो नहीं

बस कि इक वसवसा-ए-बर्ग-ए-ख़िज़ाँ-दीदा है
ख़ुल्द-ए-इम्काँ में शजर हो ये ये ज़रूरी तो नहीं

इंहिसार-ए-ग़म-ए-हस्ती ब-ग़म-ए-मर्ग-ए-हवस
'हादिस'-ए-ख़ाक-बसर हो ये ज़रूरी तो नहीं

  - Hadis Salsal

Akhbaar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hadis Salsal

As you were reading Shayari by Hadis Salsal

Similar Writers

our suggestion based on Hadis Salsal

Similar Moods

As you were reading Akhbaar Shayari Shayari