deeda-e-kam-sifaat andar se
tu ne dekhi hai raat andar se
khwaahish-e-naara-e-zafar-yaabi
mujh ko honi hai maat andar se
khair-maqdam na kar uroos-e-chashm
loot chuki hai baraat andar se
ai fareb-e-baroon-e-mausam-e-zard
sabz the saare paat andar se
apne thande badan ko chhoota hoon
joohee jalte hain haath andar se
hasrat-e-daad-e-justujoo na rahi
aisi bigdi hai baat andar se
haaye vo ghar ki jis mein pesh aaye
dastki haadsaat andar se
sharar-ifshaani-e-bayaaz-e-ghazal
kya hue kaagazaat andar se
surmai khushbuon ke nashsha hai
raqs-farma hai raat andar se
koi lutf-e-ajab ki hai masdood
jihat-e-sad-jihaat andar se
दीदा-ए-कम-सिफ़ात अंदर से
तू ने देखी है रात अंदर से
ख़्वाहिश-ए-नारा-ए-ज़फ़र-याबी
मुझ को होनी है मात अंदर से
ख़ैर-मक़्दम न कर उरूस-ए-चश्म
लुट चुकी है बरात अंदर से
ऐ फ़रेब-ए-बरून-ए-मौसम-ए-ज़र्द
सब्ज़ थे सारे पात अंदर से
अपने ठंडे बदन को छूता हूँ
जूँही जलते हैं हात अंदर से
हसरत-ए-दाद-ए-जुस्तुजू न रही
ऐसी बिगड़ी है बात अंदर से
हाए वो घर कि जिस में पेश आए
दसतकी हादसात अंदर से
शरर-इफ़शानी-ए-बयाज़-ए-ग़ज़ल
क्या हुए काग़ज़ात अंदर से
सुरमई ख़ुशबुओं के नश्शा है
रक़्स-फ़रमा है रात अंदर से
कोई लुत्फ़-ए-अजब कि है मसदूद
जिहत-ए-सद-जिहात अंदर से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hadis Salsal
our suggestion based on Hadis Salsal
As you were reading Good night Shayari Shayari