aabaad rahenge veeraane shaadaab raheingi zanjeeren
jab tak deewane zinda hain phoolengi falengi zanjeeren
aazaadi ka darwaaza bhi khud hi kholengi zanjeeren
tukde tukde ho jaayengi jab had se badhengi zanjeeren
jab sab ke lab sil jaayenge haathon se qalam chin jaayenge
baatil se loha lene ka elaan karengi zanjeeren
andhon behron ki nagri mein yun kaun tavajjoh karta hai
maahol sunega dekhega jis waqt bajengi zanjeeren
jo zanjeeron se baahar hain azaad unhen bhi mat samjho
jab haath katenge zalim ke us waqt kattengi zanjeeren
आबाद रहेंगे वीराने शादाब रहेंगी ज़ंजीरें
जब तक दीवाने ज़िंदा हैं फूलेंगी फलेंगी ज़ंजीरें
आज़ादी का दरवाज़ा भी ख़ुद ही खोलेंगी ज़ंजीरें
टुकड़े टुकड़े हो जाएँगी जब हद से बढ़ेंगी ज़ंजीरें
जब सब के लब सिल जाएँगे हाथों से क़लम छिन जाएँगे
बातिल से लोहा लेने का एलान करेंगी ज़ंजीरें
अंधों बहरों की नगरी में यूँ कौन तवज्जोह करता है
माहौल सुनेगा देखेगा जिस वक़्त बजेंगी ज़ंजीरें
जो ज़ंजीरों से बाहर हैं आज़ाद उन्हें भी मत समझो
जब हाथ कटेंगे ज़ालिम के उस वक़्त कटेंगी ज़ंजीरें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafeez Merathi
our suggestion based on Hafeez Merathi
As you were reading Aazaadi Shayari Shayari