kaun kehta hai ki mehroomi ka shikwa na karo | कौन कहता है कि महरूमी का शिकवा न करो

  - Hafeez Merathi

kaun kehta hai ki mehroomi ka shikwa na karo
haan magar saaqi-e-may-khaana ko rusva na karo

zikr chhid jaaye agar qaum ki bad-bakhti ka
rahnumaaon ki taraf koi ishaara na karo

zehan sanjeeda masaail se hataane ke liye
roz ye shaikh o brahman ka tamasha na karo

ek bhi lafz hataane ki nahin gunjaish
mere paighaam-e-mohabbat ka khulasa na karo

ye taalluq ki kharaashein bhi maza deti hain
rooth jaaye koi tum se to manaaya na karo

aaj bhi main nahin insaan se mayus ki jab
log kahte hain khuda par bhi bharosa na karo

कौन कहता है कि महरूमी का शिकवा न करो
हाँ मगर साक़ी-ए-मय-ख़ाना को रुस्वा न करो

ज़िक्र छिड़ जाए अगर क़ौम की बद-बख़्ती का
रहनुमाओं की तरफ़ कोई इशारा न करो

ज़ेहन संजीदा मसाइल से हटाने के लिए
रोज़ ये शैख़ ओ बरहमन का तमाशा न करो

एक भी लफ़्ज़ हटाने की नहीं गुंजाइश
मेरे पैग़ाम-ए-मोहब्बत का ख़ुलासा न करो

ये तअल्लुक़ की ख़राशें भी मज़ा देती हैं
रूठ जाए कोई तुम से तो मनाया न करो

आज भी मैं नहीं इंसाँ से मायूस कि जब
लोग कहते हैं ख़ुदा पर भी भरोसा न करो

  - Hafeez Merathi

Aitbaar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Merathi

As you were reading Shayari by Hafeez Merathi

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Merathi

Similar Moods

As you were reading Aitbaar Shayari Shayari