bade adab se ghuroor-e-sitam-garaan bola
jab inqilaab ke lehje mein be-zabaan bola
takoge yoonhi hawaon ka munh bhala kab tak
ye na-khudaon se ik roz baadbaan bola
chaman mein sab ki zabaan par thi meri mazloomi
mere khilaaf jo bola to baagbaan bola
yahi bahut hai ki zinda to ho miyaan-saahab
zamaana sun ke mere gham ki dastaan bola
hisaar-e-jabr mein zinda badan jalaae gaye
kisi ne dam nahin maara magar dhuaan bola
asar hua to ye taqreer ka kamaal nahin
mera khuloos mukhaatab tha main kahaan bola
kaha na tha ki nawaazeṅge ham hafiz tujhe
uda ke vo mere daaman ki dhajjiyaan bola
बड़े अदब से ग़ुरूर-ए-सितम-गराँ बोला
जब इंक़लाब के लहजे में बे-ज़बाँ बोला
तकोगे यूँही हवाओं का मुँह भला कब तक
ये ना-ख़ुदाओं से इक रोज़ बादबाँ बोला
चमन में सब की ज़बाँ पर थी मेरी मज़लूमी
मिरे ख़िलाफ़ जो बोला तो बाग़बाँ बोला
यही बहुत है कि ज़िंदा तो हो मियाँ-साहब
ज़माना सुन के मिरे ग़म की दास्ताँ बोला
हिसार-ए-जब्र में ज़िंदा बदन जलाए गए
किसी ने दम नहीं मारा मगर धुआँ बोला
असर हुआ तो ये तक़रीर का कमाल नहीं
मिरा ख़ुलूस मुख़ातब था मैं कहाँ बोला
कहा न था कि नवाज़ेंगे हम 'हफ़ीज़' तुझे
उड़ा के वो मिरे दामन की धज्जियाँ बोला
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafeez Merathi
our suggestion based on Hafeez Merathi
As you were reading Cigarette Shayari Shayari