ai dil khushi ka zikr bhi karne na de mujhe
gham ki bulandiyon se utarne na de mujhe
ghar hi ujad gaya ho to lutf-e-qayaam kya
ai gardish-e-mudaam thehrne na de mujhe
maqsad ye hai sukoon kisi soorat na ho naseeb
ai chaarasaaz baat bhi karne na de mujhe
chehre pe khaal tak bhi na chhodenge bad-nigaah
ai mere khair-khwah sanwarne na de mujhe
hai dekhne ki cheez jo bismil ka raqs bhi
duniya ye chahti hai ki marne na de mujhe
ye daur sang-dil hi nahin tang-dil bhi hai
gar bas chale to aah bhi karne na de mujhe
ab bhi ye hausla hai ki kuchh kaam aa sukoon
main toot to gaya hoon bikharna na de mujhe
ऐ दिल ख़ुशी का ज़िक्र भी करने न दे मुझे
ग़म की बुलंदियों से उतरने न दे मुझे
घर ही उजड़ गया हो तो लुत्फ़-ए-क़याम क्या
ऐ गर्दिश-ए-मुदाम ठहरने न दे मुझे
मक़्सद ये है सुकूँ किसी सूरत न हो नसीब
ऐ चारासाज़ बात भी करने न दे मुझे
चेहरे पे खाल तक भी न छोड़ेंगे बद-निगाह
ऐ मेरे ख़ैर-ख़्वाह सँवरने न दे मुझे
है देखने की चीज़ जो बिस्मिल का रक़्स भी
दुनिया ये चाहती है कि मरने न दे मुझे
ये दौर संग-दिल ही नहीं तंग-दिल भी है
गर बस चले तो आह भी करने न दे मुझे
अब भी ये हौसला है कि कुछ काम आ सुकूँ
मैं टूट तो गया हूँ बिखरने न दे मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafeez Merathi
our suggestion based on Hafeez Merathi
As you were reading Doctor Shayari Shayari