bazm-e-takallufaat sajaane mein rah gaya
main zindagi ke naaz uthaane mein rah gaya
taaseer ke liye jahaan tareef ki gai
ik jhol bas wahin pe fasaane mein rah gaya
sab mujh pe mohr-e-jurm lagaate chale gaye
main sab ko apne zakham dikhaane mein rah gaya
khud haadsa bhi maut pe us ki tha dam-b-khud
vo doosron ki jaan bachaane mein rah gaya
ab ahl-e-kaarwaan pe lagata hai tohmaten
vo hum-safar jo heele bahaane mein rah gaya
maidaan-e-kaar-zaar mein aaye vo qaum kya
jis ka jawaan aaina-khaane mein rah gaya
vo waqt ka jahaaz tha karta lihaaz kya
main doston se haath milaane mein rah gaya
sunta nahin hai muft jahaan baat bhi koi
main khaali haath aise zamaane mein rah gaya
bazaar-e-zindagi se qaza le gai mujhe
ye daur mere daam lagaane mein rah gaya
ye bhi hai ek kaar-e-numayaan hafiz ka
kya saada-lauh kaise zamaane mein rah gaya
बज़्म-ए-तकल्लुफ़ात सजाने में रह गया
मैं ज़िंदगी के नाज़ उठाने में रह गया
तासीर के लिए जहाँ तहरीफ़ की गई
इक झोल बस वहीं पे फ़साने में रह गया
सब मुझ पे मोहर-ए-जुर्म लगाते चले गए
मैं सब को अपने ज़ख़्म दिखाने में रह गया
ख़ुद हादसा भी मौत पे उस की था दम-ब-ख़ुद
वो दूसरों की जान बचाने में रह गया
अब अहल-ए-कारवाँ पे लगाता है तोहमतें
वो हम-सफ़र जो हीले बहाने में रह गया
मैदान-ए-कार-ज़ार में आए वो क़ौम क्या
जिस का जवान आईना-ख़ाने में रह गया
वो वक़्त का जहाज़ था करता लिहाज़ क्या
मैं दोस्तों से हाथ मिलाने में रह गया
सुनता नहीं है मुफ़्त जहाँ बात भी कोई
मैं ख़ाली हाथ ऐसे ज़माने में रह गया
बाज़ार-ए-ज़िंदगी से क़ज़ा ले गई मुझे
ये दौर मेरे दाम लगाने में रह गया
ये भी है एक कार-ए-नुमायाँ 'हफ़ीज़' का
क्या सादा-लौह कैसे ज़माने में रह गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafeez Merathi
our suggestion based on Hafeez Merathi
As you were reading Duniya Shayari Shayari