gudaaz-e-dil se mila sozish-e-jigar se mila
jo qahqahon mein ganwaaya tha chashm-e-tar se mila
ta'alluqaat ke ai dil hazaar pahluu hain
na jaane mujh se vo kis nuqta-e-nazar se mila
kabhi thakan ka kabhi faaslon ka rona hai
safar ka hausla mujh ko na hum-safar se mila
main doosron ke liye be-qaraar firta hoon
ajeeb dard mujhe mere chaara-gar se mila
har inqilaab ki taarikh ye bataati hai
vo manzilon pe na paaya jo raahguzaar se mila
na main ne soz hi paaya na istiqaamat hi
hazar hazar ko tatola shajar shajar se mila
hafiz ho gaya aakhir ajal se hum-aaghosh
tamaam shab ka sataaya hua sehar se mila
गुदाज़-ए-दिल से मिला सोज़िश-ए-जिगर से मिला
जो क़हक़हों में गँवाया था चश्म-ए-तर से मिला
तअ'ल्लुक़ात के ऐ दिल हज़ार पहलू हैं
न जाने मुझ से वो किस नुक़्ता-ए-नज़र से मिला
कभी थकन का कभी फ़ासलों का रोना है
सफ़र का हौसला मुझ को न हम-सफ़र से मिला
मैं दूसरों के लिए बे-क़रार फिरता हूँ
अजीब दर्द मुझे मेरे चारा-गर से मिला
हर इंक़लाब की तारीख़ ये बताती है
वो मंज़िलों पे न पाया जो रहगुज़र से मिला
न मैं ने सोज़ ही पाया न इस्तक़ामत ही
हजर हजर को टटोला शजर शजर से मिला
'हफ़ीज़' हो गया आख़िर अजल से हम-आग़ोश
तमाम शब का सताया हुआ सहर से मिला
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafeez Merathi
our suggestion based on Hafeez Merathi
As you were reading Ummeed Shayari Shayari