pee kar chain agar aaya bhi kitni der ko aayega | पी कर चैन अगर आया भी कितनी देर को आएगा

  - Hafeez Merathi

pee kar chain agar aaya bhi kitni der ko aayega
nashsha ik aawaara panchi chahkega ud jaayega

manzar ki takmeel na hogi tanhaa mujh se fankaaro
dukh ke geet to main ga doonga aansu kaun bahaayega

ek sakhi ko apna samajh kar arz-e-haal ki thaani hai
bairi dil kehta hai pagle qaasa bhi chin jaayega

mera samundar-paar safar par jaana ek qayamat hai
jaise har chehre pe likha ho mere liye kya laayega

jaate jaate pooch raha hai amn ke rakhwaaloṅ se hafiz
kyun jee kya ham logon se meerut khaali ho jaayega

पी कर चैन अगर आया भी कितनी देर को आएगा
नश्शा इक आवारा पंछी चहकेगा उड़ जाएगा

मंज़र की तकमील न होगी तन्हा मुझ से फ़नकारो
दुख के गीत तो मैं गा दूँगा आँसू कौन बहाएगा

एक सख़ी को अपना समझ कर अर्ज़-ए-हाल की ठानी है
बैरी दिल कहता है पगले कासा भी छिन जाएगा

मेरा समुंदर-पार सफ़र पर जाना एक क़यामत है
जैसे हर चेहरे पे लिखा हो मेरे लिए क्या लाएगा

जाते जाते पूछ रहा है अम्न के रखवालों से 'हफ़ीज़'
क्यूँ जी क्या हम लोगों से मेरठ ख़ाली हो जाएगा

  - Hafeez Merathi

Dosti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Merathi

As you were reading Shayari by Hafeez Merathi

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Merathi

Similar Moods

As you were reading Dosti Shayari Shayari