be-sahaaron ka intizaam karo | बे-सहारों का इंतिज़ाम करो

  - Hafeez Merathi

be-sahaaron ka intizaam karo
yaani ik aur qatl-e-aam karo

khair-khwaaho ka mashwara ye hai
thokren khao aur salaam karo

dab ke rahna hamein nahin manzoor
zaalimo jaao apna kaam karo

khwaahishein jaane kis taraf le jaayen
khwahishon ko na be-lagaam karo

mezbaanon mein ho jahaan an-ban
aisi basti mein mat qayaam karo

aap chhat jaayenge havas waale
tum zara be-rukhi ko aam karo

dhoondte ho giro padoṅ ko kyun
udne waalon ko zer-e-daam karo

dene waala badaai bhi dega
tum samaai ka ehtimaam karo

bad-dua de ke chal diya vo faqeer
kah diya tha ki koi kaam karo

ye hunar bhi bada zaroori hai
kitna jhuk kar kise salaam karo

sar-firo mein abhi hararat hai
in jiyaalon ka ehtiraam karo

saanp aapas mein kah rahe hain hafiz
aasteenon ka intizaam karo

बे-सहारों का इंतिज़ाम करो
यानी इक और क़त्ल-ए-आम करो

ख़ैर-ख़्वाहों का मशवरा ये है
ठोकरें खाओ और सलाम करो

दब के रहना हमें नहीं मंज़ूर
ज़ालिमो जाओ अपना काम करो

ख़्वाहिशें जाने किस तरफ़ ले जाएँ
ख़्वाहिशों को न बे-लगाम करो

मेज़बानों में हो जहाँ अन-बन
ऐसी बस्ती में मत क़याम करो

आप छट जाएँगे हवस वाले
तुम ज़रा बे-रुख़ी को आम करो

ढूँडते हो गिरों पड़ों को क्यूँ
उड़ने वालों को ज़ेर-ए-दाम करो

देने वाला बड़ाई भी देगा
तुम समाई का एहतिमाम करो

बद-दुआ दे के चल दिया वो फ़क़ीर
कह दिया था कि कोई काम करो

ये हुनर भी बड़ा ज़रूरी है
कितना झुक कर किसे सलाम करो

सर-फिरों में अभी हरारत है
इन जियालों का एहतिराम करो

साँप आपस में कह रहे हैं 'हफ़ीज़'
आस्तीनों का इंतिज़ाम करो

  - Hafeez Merathi

Garmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Merathi

As you were reading Shayari by Hafeez Merathi

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Merathi

Similar Moods

As you were reading Garmi Shayari Shayari