is deewane dil ko dekho kya sheva apnaaye hai | इस दीवाने दिल को देखो क्या शेवा अपनाए है

  - Hafeez Merathi

is deewane dil ko dekho kya sheva apnaaye hai
us par hi vishwas kare hai jis se dhoka khaaye hai

saara kaleja kat kat kar jab ashkon mein bah jaaye hai
tab koi farhaad bane hai tab majnoon kahlaaye hai

main jo tadap kar rooun hoon to zalim yun farmaaye hai
itna gahra ghaav kahaan hai naahak shor machaaye hai

tum ne mujh ko ranj diya to is mein tumhaara dosh nahin
phool bhi kaanta ban jaaye hai waqt bura jab aaye hai

इस दीवाने दिल को देखो क्या शेवा अपनाए है
उस पर ही विश्वास करे है जिस से धोका खाए है

सारा कलेजा कट कट कर जब अश्कों में बह जाए है
तब कोई फ़रहाद बने है तब मजनूँ कहलाए है

मैं जो तड़प कर रोऊँ हूँ तो ज़ालिम यूँ फ़रमाए है
इतना गहरा घाव कहाँ है नाहक़ शोर मचाए है

तुम ने मुझ को रंज दिया तो इस में तुम्हारा दोश नहीं
फूल भी काँटा बन जाए है वक़्त बुरा जब आए है

  - Hafeez Merathi

Phool Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Merathi

As you were reading Shayari by Hafeez Merathi

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Merathi

Similar Moods

As you were reading Phool Shayari Shayari