kyun qatl ke armaan mein aazaar uthaaye
gardan meri haazir hai vo talwaar uthaaye
roke se meri tab-e-ravaan ruk na sakegi
raaste mein mere laakh vo deewaar uthaaye
jo dil mein tumhaare hai bata kyun nahin dete
sadma jo uthaana hai to yakbaar uthaaye
kyun log hain khaamosh zaboon-haal pe apne
awaaz sar-e-koocha-o-bazaar uthaaye
khud hi jo pas-e-parda-e-asraar chhupe hain
vo kaise bhala pardaa-e-asraar uthaaye
neelaam jo karte hain yahan jins-e-wafa ko
mumkin hi nahin naaz-e-khareedaar uthaaye
ye jurm-e-mohabbat nahin wa'iz ka muqaddar
ye baar-e-gunaah ham se gunahgaar uthaaye
firte hain jo azaad unhen kaise khabar ho
zindaan mein jo takleef-e-giraftaar uthaaye
shaahid yahi likkha hai muqaddar mein hamaare
sadmaat zamaane mein lagaataar uthaaye
क्यूँ क़त्ल के अरमान में आज़ार उठाएँ
गर्दन मिरी हाज़िर है वो तलवार उठाएँ
रोके से मिरी तब-ए-रवाँ रुक न सकेगी
रस्ते में मिरे लाख वो दीवार उठाएँ
जो दिल में तुम्हारे है बता क्यूँ नहीं देते
सदमा जो उठाना है तो यकबार उठाएँ
क्यूँ लोग हैं ख़ामोश ज़बूँ-हाल पे अपने
आवाज़ सर-ए-कूचा-ओ-बाज़ार उठाएँ
ख़ुद ही जो पस-ए-पर्दा-ए-असरार छुपे हैं
वो कैसे भला पर्दा-ए-असरार उठाएँ
नीलाम जो करते हैं यहाँ जिंस-ए-वफ़ा को
मुमकिन ही नहीं नाज़-ए-ख़रीदार उठाएँ
ये जुर्म-ए-मोहब्बत नहीं वाइ'ज़ का मुक़द्दर
ये बार-ए-गुनाह हम से गुनहगार उठाएँ
फिरते हैं जो आज़ाद उन्हें कैसे ख़बर हो
ज़िंदाँ में जो तकलीफ़-ए-गिरफ़्तार उठाएँ
'शाहिद' यही लिक्खा है मुक़द्दर में हमारे
सदमात ज़माने में लगातार उठाएँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafeez Shahid
our suggestion based on Hafeez Shahid
As you were reading Aadmi Shayari Shayari