tod kar ahad-e-karam na-aashnaa ho jaaie | तोड़ कर अहद-ए-करम ना-आश्ना हो जाइए

  - Hasrat Mohani

tod kar ahad-e-karam na-aashnaa ho jaaie
banda-parvar jaaie achha khafa ho jaaie

mere uzr-e-jurm par mutlaq na kijeye iltifaat
balki pehle se bhi badh kar kaj-ada ho jaaie

khaatir-e-mahroom ko kar deejie mahv-e-alam
dar-pa-e-iza-e-jaan-e-mubtala ho jaaie

raah mein miliye kabhi mujh se to az-raah-e-sitam
hont apna kaat kar fauran juda ho jaaie

gar nigaah-e-shauq ko mahv-e-tamaasha dekhiye
qahar ki nazaron se masroof-e-saza ho jaaie

meri tahreer-e-nadaamat ka na deeje kuchh jawaab
dekh lijye aur taghaful-aashna ho jaaie

mujh se tanhaai mein gar miliye to deeje gaaliyaan
aur bazm-e-ghair mein jaan-e-haya ho jaaie

haan yahi meri wafa-e-be-asar ki hai saza
aap kuchh is se bhi badh kar pur-jafaa ho jaaie

jee mein aata hai ki us shokh-e-taghaful-kesh se
ab na miliye phir kabhi aur bewafa ho jaaie

kaavish-e-dard-e-jigar ki lazzaton ko bhool kar
maail-e-aaraam o mushtaqa-e-shifa ho jaaie

ek bhi armaan na rah jaaye dil-e-maayus mein
yaani aakhir be-niyaaz-e-muddaa ho jaaie

bhool kar bhi us sitam-parvar ki phir aaye na yaad
is qadar begaana-e-ahd-e-wafa ho jaaie

haaye ri be-ikhtiyaari ye to sab kuchh ho magar
us saraapa naaz se kyunkar khafa ho jaaie

chahta hai mujh ko tu bhule na bhoolun main tujhe
tere is tarz-e-taghaful ke fida ho jaaie

kashmakash-ha-e-alam se ab ye hasrat jee mein hai
chhut ke in jhagdon se mehmaan-e-qaza ho jaaie

तोड़ कर अहद-ए-करम ना-आश्ना हो जाइए
बंदा-परवर जाइए अच्छा ख़फ़ा हो जाइए

मेरे उज़्र-ए-जुर्म पर मुतलक़ न कीजे इल्तिफ़ात
बल्कि पहले से भी बढ़ कर कज-अदा हो जाइए

ख़ातिर-ए-महरूम को कर दीजिए महव-ए-अलम
दर-पा-ए-ईज़ा-ए-जान-ए-मुब्तला हो जाइए

राह में मिलिए कभी मुझ से तो अज़-राह-ए-सितम
होंट अपना काट कर फ़ौरन जुदा हो जाइए

गर निगाह-ए-शौक़ को महव-ए-तमाशा देखिए
क़हर की नज़रों से मसरूफ़-ए-सज़ा हो जाइए

मेरी तहरीर-ए-नदामत का न दीजे कुछ जवाब
देख लीजे और तग़ाफ़ुल-आश्ना हो जाइए

मुझ से तन्हाई में गर मिलिए तो दीजे गालियाँ
और बज़्म-ए-ग़ैर में जान-ए-हया हो जाइए

हाँ यही मेरी वफ़ा-ए-बे-असर की है सज़ा
आप कुछ इस से भी बढ़ कर पुर-जफ़ा हो जाइए

जी में आता है कि उस शोख़-ए-तग़ाफ़ुल-केश से
अब न मिलिए फिर कभी और बेवफ़ा हो जाइए

काविश-ए-दर्द-ए-जिगर की लज़्ज़तों को भूल कर
माइल-ए-आराम ओ मुश्ताक़-ए-शिफ़ा हो जाइए

एक भी अरमाँ न रह जाए दिल-ए-मायूस में
यानी आख़िर बे-नियाज़-ए-मुद्दआ हो जाइए

भूल कर भी उस सितम-परवर की फिर आए न याद
इस क़दर बेगाना-ए-अहद-ए-वफ़ा हो जाइए

हाए री बे-इख़्तियारी ये तो सब कुछ हो मगर
उस सरापा नाज़ से क्यूँकर ख़फ़ा हो जाइए

चाहता है मुझ को तू भूले न भूलूँ मैं तुझे
तेरे इस तर्ज़-ए-तग़ाफ़ुल के फ़िदा हो जाइए

कशमकश-हा-ए-अलम से अब ये 'हसरत' जी में है
छुट के इन झगड़ों से मेहमान-ए-क़ज़ा हो जाइए

  - Hasrat Mohani

Lab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hasrat Mohani

As you were reading Shayari by Hasrat Mohani

Similar Writers

our suggestion based on Hasrat Mohani

Similar Moods

As you were reading Lab Shayari Shayari