ghazal ho gai jab bhi socha tumhein
fasaane bane jab bhi likkha tumhein
kabhi dhoop ho tum kabhi chaandni
samajh kar bhi koi na samjha tumhein
garz koi suraj se ham ko nahin
sehar ho gai jab bhi dekha tumhein
mujhe apne dil par bada naaz hai
bade naaz se jis ne rakha tumhein
kabhi meri aankhon mein jhaanko zara
yahan koi tum sa milega tumhein
ye thi ashk sahab ki deewaangi
the tum roo-b-roo phir bhi dhoonda tumhein
ग़ज़ल हो गई जब भी सोचा तुम्हें
फ़साने बने जब भी लिक्खा तुम्हें
कभी धूप हो तुम कभी चाँदनी
समझ कर भी कोई न समझा तुम्हें
ग़रज़ कोई सूरज से हम को नहीं
सहर हो गई जब भी देखा तुम्हें
मुझे अपने दिल पर बड़ा नाज़ है
बड़े नाज़ से जिस ने रक्खा तुम्हें
कभी मेरी आँखों में झाँको ज़रा
यहाँ कोई तुम सा मिलेगा तुम्हें
ये थी 'अश्क' साहब की दीवानगी
थे तुम रू-ब-रू फिर भी ढूँडा तुम्हें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ibrahim Ashk
our suggestion based on Ibrahim Ashk
As you were reading Ujaala Shayari Shayari