mohabbaton mein jo mit mit ke shaahkaar hua
vo shakhs kitna zamaane mein yaadgaar hua
tiri hi aas mein guzre hain dhoop chaanv se ham
tiri hi pyaas mein sehra bhi khush-gawaar hua
na jaane kitni bahaaron ki de gaya khushboo
vo ik badan jo hamaare gale ka haar hua
tumhaare baad to har ik qadam hai ban-baas
hamaara shehar ke logon mein kab shumaar hua
khud apne aap se lena tha intiqaam mujhe
main apne haath ke patthar se sangsaar hua
ye ek jaan bhi leta hai ashk qiston mein
zara sa kaam bhi us se na ek baar hua
मोहब्बतों में जो मिट मिट के शाहकार हुआ
वो शख़्स कितना ज़माने में यादगार हुआ
तिरी ही आस में गुज़रे हैं धूप छाँव से हम
तिरी ही प्यास में सहरा भी ख़ुश-गवार हुआ
न जाने कितनी बहारों की दे गया ख़ुशबू
वो इक बदन जो हमारे गले का हार हुआ
तुम्हारे बाद तो हर इक क़दम है बन-बास
हमारा शहर के लोगों में कब शुमार हुआ
ख़ुद अपने आप से लेना था इंतिक़ाम मुझे
मैं अपने हाथ के पत्थर से संगसार हुआ
ये एक जान भी लेता है 'अश्क' क़िस्तों में
ज़रा सा काम भी उस से न एक बार हुआ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ibrahim Ashk
our suggestion based on Ibrahim Ashk
As you were reading Shehar Shayari Shayari