ana ne toot ke kuchh faisla kiya hi nahin
bayaan apna kabhi muddaa kiya hi nahin
har ek shakhs ko insaan hi rakha ham ne
ki aadmi ko nazar mein khuda kiya hi nahin
bas ek baar hi toda jahaan ne ahad-e-wafaa
kisi se ham ne phir ahad-e-wafaa kiya hi nahin
kai dishaon se guzra hai kaarwaan-e-hayaat
thehar ke dil ko kahi mubtala kiya hi nahin
pahaad zulm-o-sitam ke hasi mein kaat diye
ada-e-naaz ki koi gila kiya hi nahin
chhua jise bhi wahi lafz ban gaya taarikh
ki be-asar koi jumla ada kiya hi nahin
tamaam umr sanwaara ghazal ki duniya ko
ki ashk ham ne kuchh is ke siva kiya hi nahin
अना ने टूट के कुछ फ़ैसला किया ही नहीं
बयान अपना कभी मुद्दआ किया ही नहीं
हर एक शख़्स को इंसान ही रखा हम ने
कि आदमी को नज़र में ख़ुदा किया ही नहीं
बस एक बार ही तोड़ा जहाँ ने अहद-ए-वफ़ा
किसी से हम ने फिर अहद-ए-वफ़ा किया ही नहीं
कई दिशाओं से गुज़रा है कारवान-ए-हयात
ठहर के दिल को कहीं मुब्तला किया ही नहीं
पहाड़ ज़ुल्म-ओ-सितम के हँसी में काट दिए
अदा-ए-नाज़ कि कोई गिला किया ही नहीं
छुआ जिसे भी वही लफ़्ज़ बन गया तारीख़
कि बे-असर कोई जुमला अदा किया ही नहीं
तमाम उम्र सँवारा ग़ज़ल की दुनिया को
कि 'अश्क' हम ने कुछ इस के सिवा किया ही नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ibrahim Ashk
our suggestion based on Ibrahim Ashk
As you were reading Budhapa Shayari Shayari