na ku-e-yaar mein thehra na anjuman mein raha | न कू-ए-यार में ठहरा न अंजुमन में रहा

  - Ibrahim Ashk

na ku-e-yaar mein thehra na anjuman mein raha
ada-e-naaz se ye dil sara-e-fan mein raha

hazaaron toofaan uthaaye hain waqt aane par
lahu bhi khaas ada se mere badan mein raha

main ek rang tha rang-e-khayaal-e-aawaara
kisi dhanak mein kisi rut ke pairhan mein raha

ana hi thi ki na jhukne diya kabhi mujh ko
pahaad sar pe utha kar bhi baankpan mein raha

vo main hi tha ki koi aur tha nahin ma'aloom
tamaam umr jo mere hi jaan o tan mein raha

safeer-e-jaan ke liye manzilen nahin hoti
koi padaav bhi aaya to vo thakan mein raha

uthi jo saif-e-sitam be-niyaaz-e-maut-o-hayaat
qalam-b-dast khada waadi-e-sukhan mein raha

न कू-ए-यार में ठहरा न अंजुमन में रहा
अदा-ए-नाज़ से ये दिल सरा-ए-फ़न में रहा

हज़ारों तूफ़ाँ उठाए हैं वक़्त आने पर
लहू भी ख़ास अदा से मिरे बदन में रहा

मैं एक रंग था रंग-ए-ख़याल-ए-आवारा
किसी धनक में किसी रुत के पैरहन में रहा

अना ही थी कि न झुकने दिया कभी मुझ को
पहाड़ सर पे उठा कर भी बाँकपन में रहा

वो मैं ही था कि कोई और था नहीं मा'लूम
तमाम उम्र जो मेरे ही जान ओ तन में रहा

सफ़ीर-ए-जाँ के लिए मंज़िलें नहीं होतीं
कोई पड़ाव भी आया तो वो थकन में रहा

उठी जो सैफ़-ए-सितम बे-नियाज़-ए-मौत-ओ-हयात
क़लम-ब-दस्त खड़ा वादी-ए-सुख़न में रहा

  - Ibrahim Ashk

Andaaz Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ibrahim Ashk

As you were reading Shayari by Ibrahim Ashk

Similar Writers

our suggestion based on Ibrahim Ashk

Similar Moods

As you were reading Andaaz Shayari Shayari