duniya luti to door se takta hi rah gaya
aankhon mein ghar ke khwaab ka naqsha hi rah gaya
us ke badan ka loch tha dariya ki mauj mein
saahil se main bahaav ko takta hi rah gaya
duniya bahut qareeb se uth kar chali gai
baitha main apne ghar mein akela hi rah gaya
vo apna aks bhool ke jaane laga to main
awaaz de ke us ko bulaata hi rah gaya
hamraah us ke saari bahaarein chali gaeein
meri zabaan pe phool ka charcha hi rah gaya
kuchh is ada se aa ke mila ham se ashk vo
aankhon mein jazb ho ke saraapa hi rah gaya
दुनिया लुटी तो दूर से तकता ही रह गया
आँखों में घर के ख़्वाब का नक़्शा ही रह गया
उस के बदन का लोच था दरिया की मौज में
साहिल से मैं बहाव को तकता ही रह गया
दुनिया बहुत क़रीब से उठ कर चली गई
बैठा मैं अपने घर में अकेला ही रह गया
वो अपना अक्स भूल के जाने लगा तो मैं
आवाज़ दे के उस को बुलाता ही रह गया
हमराह उस के सारी बहारें चली गईं
मेरी ज़बाँ पे फूल का चर्चा ही रह गया
कुछ इस अदा से आ के मिला हम से 'अश्क' वो
आँखों में जज़्ब हो के सरापा ही रह गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ibrahim Ashk
our suggestion based on Ibrahim Ashk
As you were reading Nadii Shayari Shayari