labon par pyaas ho to aas ke baadal bhare rakhiyo
saraabo ke safar mein is tarah gulshan hare rakhiyo
ye baazaar-e-jahaan hai be-gharz koi nahin milta
parakh kar jab talak dekho nahin sab ko pare rakhiyo
wafa ke bol par be-mol bik jaati hai ye duniya
agar ho be-sar-o-samaan to ye sikke khare rakhiyo
kisi ke saamne daaman pasaare se milega kya
agar insaan ho khuddaariyon se ghar bhare rakhiyo
sharaabon se bhare pyaale mujhe takne ki aadat hai
badan bheega raseele hont naina mad-bhare rakhiyo
na jaane kab kisi ke khwaab se ye dil dhadak jaaye
agar sone lago to haath seene par dhare rakhiyo
लबों पर प्यास हो तो आस के बादल भरे रखियो
सराबों के सफ़र में इस तरह गुलशन हरे रखियो
ये बाज़ार-ए-जहाँ है बे-ग़रज़ कोई नहीं मिलता
परख कर जब तलक देखो नहीं सब को परे रखियो
वफ़ा के बोल पर बे-मोल बिक जाती है ये दुनिया
अगर हो बे-सर-ओ-सामाँ तो ये सिक्के खरे रखियो
किसी के सामने दामन पसारे से मिलेगा क्या
अगर इंसान हो ख़ुद्दारियों से घर भरे रखियो
शराबों से भरे प्याले मुझे तकने की आदत है
बदन भीगा रसीले होंट नैना मद-भरे रखियो
न जाने कब किसी के ख़्वाब से ये दिल धड़क जाए
अगर सोने लगो तो हाथ सीने पर धरे रखियो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ibrahim Ashk
our suggestion based on Ibrahim Ashk
As you were reading Duniya Shayari Shayari