raat bhar tanhaa raha din bhar akela main hi tha | रात भर तन्हा रहा दिन भर अकेला मैं ही था

  - Ibrahim Ashk

raat bhar tanhaa raha din bhar akela main hi tha
shehar ki aabaadiyon mein apne jaisa main hi tha

main hi dariya main hi toofaan main hi tha har mauj bhi
main hi khud ko pee gaya sadiyon se pyaasa main hi tha

kis liye katara ke jaata hai musaafir dam to le
aaj sookha ped hoon kal tera saaya main hi tha

kitne jazbon ki niraali khushbuen theen mere paas
koi un ka chaahne waala nahin tha main hi tha

door hi se chaahne waale mile har mod par
faasle saare mitaane ko tadapna main hi tha

meri aahat sunne waala dil na tha duniya ke paas
raaste mein ashk be-maqsd jo bhatka main hi tha

रात भर तन्हा रहा दिन भर अकेला मैं ही था
शहर की आबादियों में अपने जैसा मैं ही था

मैं ही दरिया मैं ही तूफ़ाँ मैं ही था हर मौज भी
मैं ही ख़ुद को पी गया सदियों से प्यासा मैं ही था

किस लिए कतरा के जाता है मुसाफ़िर दम तो ले
आज सूखा पेड़ हूँ कल तेरा साया मैं ही था

कितने जज़्बों की निराली ख़ुशबुएँ थीं मेरे पास
कोई उन का चाहने वाला नहीं था मैं ही था

दूर ही से चाहने वाले मिले हर मोड़ पर
फ़ासले सारे मिटाने को तड़पना मैं ही था

मेरी आहट सुनने वाला दिल न था दुनिया के पास
रास्ते में 'अश्क' बे-मक़्सद जो भटका मैं ही था

  - Ibrahim Ashk

Samundar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ibrahim Ashk

As you were reading Shayari by Ibrahim Ashk

Similar Writers

our suggestion based on Ibrahim Ashk

Similar Moods

As you were reading Samundar Shayari Shayari