inheen mein jeete inheen bastiyon mein mar rahte | इन्हीं में जीते इन्हीं बस्तियों में मर रहते

  - Iftikhar Arif

inheen mein jeete inheen bastiyon mein mar rahte
ye chahte the magar kis ke naam par rahte

payambaron se zameenen wafa nahin karti
ham aise kaun khuda the ki apne ghar rahte

parinde jaate na jaate palat ke ghar apne
par apne hum-shajron se to ba-khabar rahte

bas ek khaak ka ehsaan hai ki khair se hain
vagarna soorat-e-khaashaak dar-b-dar rahte

mere kareem jo teri raza magar is baar
baras guzar gaye shaakhon ko be-samar rahte

इन्हीं में जीते इन्हीं बस्तियों में मर रहते
ये चाहते थे मगर किस के नाम पर रहते

पयम्बरों से ज़मीनें वफ़ा नहीं करतीं
हम ऐसे कौन ख़ुदा थे कि अपने घर रहते

परिंदे जाते न जाते पलट के घर अपने
पर अपने हम-शजरों से तो बा-ख़बर रहते

बस एक ख़ाक का एहसान है कि ख़ैर से हैं
वगर्ना सूरत-ए-ख़ाशाक दर-ब-दर रहते

मिरे करीम जो तेरी रज़ा मगर इस बार
बरस गुज़र गए शाख़ों को बे-समर रहते

  - Iftikhar Arif

Ijazat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Arif

As you were reading Shayari by Iftikhar Arif

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Arif

Similar Moods

As you were reading Ijazat Shayari Shayari