vo ik sehama hua chhota sa baccha tha
aur us ke imtihaan nazdeek the
apni kitaabon se abhi us ko
bahut cheezen zabaani yaad karna theen
magar us raat us ke shehar ki
sab battiyaan gul theen
use padhna tha
lekin raushni bas door topon ke dahano
se nikalti thi
वो इक सहमा हुआ छोटा सा बच्चा था
और उस के इम्तिहाँ नज़दीक थे
अपनी किताबों से अभी उस को
बहुत चीज़ें ज़बानी याद करना थीं
मगर उस रात उस के शहर की
सब बत्तियाँ गुल थीं
उसे पढ़ना था
लेकिन रौशनी बस दूर तोपों के दहानों
से निकलती थी
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Iftikhar Bukhari
As you were reading Gaon Shayari Shayari