main sochta hoon
agar do raaste hote
tum tak jaane ke liye
kisi baagh mein chahal-qadami ki tarah
yakh-basta pahaadon mein
safed surangon jaise
agar do khwaab hote
sahmi hui khaamosh raaton mein
jaagne ke liye
sone ke liye
agar do jungle hote
pur-asraar bhatkne ke liye
ya duniya-daaron se katne ke liye
agar do parinde hote
mohabbat ke liye
agar do saraab hote
pyaasa jeene ke liye
pyaasa marne ke liye
agar do kahaaniyaan hoti
qadeem chattan par kanda
na-qaabil-e-fahm nuqoosh mein madfoon
yaad karne ke liye
bhool jaane ke liye
agar do geet hote
mere jeete jee
aakhiri hichki lene ke liye
ya mere ba'ad kuchh pal
mujhe rone ke liye
agar do sitaare hote
subh-e-kaazib ki dahleez par
chamakne ke liye
bujhne ke liye
umr guzaar kar
main sochta hoon
ye mumkin nahin
is duniya ki be-intihaai mein
do cheezen nahin hoti
sivaae do tanhaaiyon ke
tu
aur main
मैं सोचता हूँ
अगर दो रास्ते होते
तुम तक जाने के लिए
किसी बाग़ में चहल-क़दमी की तरह
यख़-बस्ता पहाड़ों में
सफ़ेद सुरंगों जैसे
अगर दो ख़्वाब होते
सहमी हुई ख़ामोश रातों में
जागने के लिए
सोने के लिए
अगर दो जंगल होते
पुर-असरार भटकने के लिए
या दुनिया-दारों से कटने के लिए
अगर दो परिंदे होते
मोहब्बत के लिए
अगर दो सराब होते
प्यासा जीने के लिए
प्यासा मरने के लिए
अगर दो कहानियाँ होतीं
क़दीम चट्टान पर कंदा
ना-क़ाबिल-ए-फ़हम नुक़ूश में मदफ़ून
याद करने के लिए
भूल जाने के लिए
अगर दो गीत होते
मेरे जीते जी
आख़िरी हिचकी लेने के लिए
या मेरे बा'द कुछ पल
मुझे रोने के लिए
अगर दो सितारे होते
सुब्ह-ए-काज़िब की दहलीज़ पर
चमकने के लिए
बुझने के लिए
उम्र गुज़ार कर
मैं सोचता हूँ
ये मुमकिन नहीं
इस दुनिया की बे-इंतिहाई में
दो चीज़ें नहीं होतीं
सिवाए दो तन्हाइयों के
तू
और मैं
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Iftikhar Bukhari
As you were reading Environment Shayari Shayari