main sona chahta hoon
main waapas apne gum-shuda khwaab
ki naav mein
sona chahta hoon
mari hui machliyon jaisi
tez shar-angez mahak ke
zer-e-asar
hua yun ki main ne apne badan par
geeli lazeez ungliyon ko
rengte mehsoos kiya
vo do khoobsurat haath the
marjaani patthar se taraashida
kisi jadoo'ee khayal jaisi
kunvaari laash
mere pahluu mein
achaanak bedaari
bina kuchh soche
main raat ki nadi mein kood gaya
saahil ki samt
musalsal tairta hua
jahaan geeli ret par
udaas kachve
aane waale zamaanon ke
ande dafn kar ke
waapsi ke safar par
rengte hain
mujhe aspataalon mein bataaya gaya
main la-ilaaj hoon
mujhe mere aakhiri pal tak
udaas kachuon ke pairo'n ki
be-aawaaz aahat
sone nahin degi
मैं सोना चाहता हूँ
मैं वापस अपने गुम-शुदा ख़्वाब
की नाव में
सोना चाहता हूँ
मरी हुई मछलियों जैसी
तेज़ शर-अंगेज़ महक के
ज़ेर-ए-असर
हुआ यूँ कि मैं ने अपने बदन पर
गीली लज़ीज़ उँगलियों को
रेंगते महसूस किया
वो दो ख़ूबसूरत हाथ थे
मरजानी पत्थर से तराशीदा
किसी जादूई ख़याल जैसी
कुँवारी लाश
मेरे पहलू में
अचानक बेदारी
बिना कुछ सोचे
मैं रात की नदी में कूद गया
साहिल की सम्त
मुसलसल तैरता हुआ
जहाँ गीली रेत पर
उदास कछवे
आने वाले ज़मानों के
अंडे दफ़्न कर के
वापसी के सफ़र पर
रेंगते हैं
मुझे अस्पतालों में बताया गया
मैं ला-इलाज हूँ
मुझे मेरे आख़िरी पल तक
उदास कछुओं के पैरों की
बे-आवाज़ आहट
सोने नहीं देगी
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Iftikhar Bukhari
As you were reading haseen Shayari Shayari