ahbaab chhute mehboob chhute ghar chhoot gaya dar chhoot gaya
jab dil se tamannaa chhoot gai sab rishta naata toot gaya
ai saaqi-e-bazm-e-kaif-e-hayaat ab mujh ko pyaasa jaane de
may jis mein meri taqdeer ki thi vo sheesha tujh se toot gaya
go sheesha-gar-e-qudrat ne bahut toote hue sheeshe jod diye
lekin ye hamaara sheesha-e-dil joda na gaya yun toot gaya
is saaz pe naghma ab chhedo to naala paida hota hai
maujood hain vo sab taar jo the bas ek nahin hai toot gaya
ham rote hain apne pyaaron ko aur fitrat ham se kahti hai
ab aur khilauno se khelo jo toot gaya so toot gaya
vo raah mein hai aankhon mein hai dam ai baad-e-saba aahista guzar
hain taar-e-nafs par hachkole ab toot gaya ab toot gaya
kahte ho ki maango jo maango batlaao tumhi ham kya maange
chaaha tha ki maange tum se tumhein ye ho na saka jee chhoot gaya
haan sun ki tujhe thi ham se garz mohtaaj-e-nazar tha husn tira
rakhi rahi shaan-e-istighnaa aakhir ko ye bhaanda phoot gaya
ye dil to wahi dil hai rizvi aabaad bhi tha veeraan bhi hai
armaanon ki is basti ko kal ek musaafir loot gaya
अहबाब छुटे महबूब छुटे घर छूट गया दर छूट गया
जब दिल से तमन्ना छूट गई सब रिश्ता नाता टूट गया
ऐ साक़ी-ए-बज़्म-ए-कैफ़-ए-हयात अब मुझ को प्यासा जाने दे
मय जिस में मिरी तक़दीर की थी वो शीशा तुझ से टूट गया
गो शीशा-गर-ए-क़ुदरत ने बहुत टूटे हुए शीशे जोड़ दिए
लेकिन ये हमारा शीशा-ए-दिल जोड़ा न गया यूँ टूट गया
इस साज़ पे नग़्मा अब छेड़ो तो नाला पैदा होता है
मौजूद हैं वो सब तार जो थे बस एक नहीं है टूट गया
हम रोते हैं अपने प्यारों को और फ़ितरत हम से कहती है
अब और खिलौनों से खेलो जो टूट गया सो टूट गया
वो राह में है आँखों में है दम ऐ बाद-ए-सबा आहिस्ता गुज़र
हैं तार-ए-नफ़स पर हचकोले अब टूट गया अब टूट गया
कहते हो कि माँगो जो माँगो बतलाओ तुम्ही हम क्या माँगें
चाहा था कि माँगें तुम से तुम्हें ये हो न सका जी छूट गया
हाँ सुन कि तुझे थी हम से ग़रज़ मोहताज-ए-नज़र था हुस्न तिरा
रक्खी रही शान-ए-इस्तिग़ना आख़िर को ये भांडा फूट गया
ये दिल तो वही दिल है 'रिज़वी' आबाद भी था वीरान भी है
अरमानों की इस बस्ती को कल एक मुसाफ़िर लूट गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ijtiba Rizvi
our suggestion based on Ijtiba Rizvi
As you were reading Anjam Shayari Shayari