sehar ka noor hai taaron ka in'i'kaas nahin | सहर का नूर है तारों का इनइ'कास नहीं - J. P. Saeed

sehar ka noor hai taaron ka in'i'kaas nahin
fareb-khurda ho tum ya ziya-shanaas nahin

jabeen-e-subh pe tahreer hai ye khatt-e-jali
naye nizaam mein tafreeq-e-aam-o-khaas nahin

ye kis vasooq se anwaar-e-subh kahte hain
nayi hayaat se koi bhi wajh-e-yaas nahin

ye aur baat hai dil khoon ho gaya gham se
nazar mein aap ki ab bhi koi udaas nahin

vo aur honge jinhen zindagi ke aish mile
yahan to ek tabassum bhi ham ko raas nahin

fareb-o-kizb dariya se main be-taalluq hoon
b-juz khuloos-o-wafa kuchh bhi mere paas nahin

saeed dost mile hain mujhe kuchh aise bhi
ki jin ko mehr-o-mohabbat ka koi paas nahin

सहर का नूर है तारों का इनइ'कास नहीं
फ़रेब-ख़ुर्दा हो तुम या ज़िया-शनास नहीं

जबीन-ए-सुब्ह पे तहरीर है ये ख़त्त-ए-जली
नए निज़ाम में तफ़रीक़-ए-आम-ओ-ख़ास नहीं

ये किस वसूक़ से अनवार-ए-सुब्ह कहते हैं
नई हयात से कोई भी वज्ह-ए-यास नहीं

ये और बात है दिल ख़ून हो गया ग़म से
नज़र में आप की अब भी कोई उदास नहीं

वो और होंगे जिन्हें ज़िंदगी के ऐश मिले
यहाँ तो एक तबस्सुम भी हम को रास नहीं

फ़रेब-ओ-किज़्ब दरिया से मैं बे-तअल्लुक़ हूँ
ब-जुज़ ख़ुलूस-ओ-वफ़ा कुछ भी मेरे पास नहीं

'सईद' दोस्त मिले हैं मुझे कुछ ऐसे भी
कि जिन को मेहर-ओ-मोहब्बत का कोई पास नहीं

- J. P. Saeed
0 Likes

Muskurahat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by J. P. Saeed

As you were reading Shayari by J. P. Saeed

Similar Writers

our suggestion based on J. P. Saeed

Similar Moods

As you were reading Muskurahat Shayari Shayari