ahbaab mere dard se kuchh be-khabar na the | अहबाब मिरे दर्द से कुछ बे-ख़बर न थे - J. P. Saeed

ahbaab mere dard se kuchh be-khabar na the
ye aur baat hai vo koi chaaragar na the

taqat thi jab badan mein to darwaaza band tha
jab dar khula qafas ka mere baal-o-par na the

anjaan ham the raah se manzil bhi door thi
achha hua ki aap shareek-e-safar na the

is vaaste bhi mujh ko tira gham aziz hai
jitne bhi gham mile vo gham mo'tabar na the

tareek raat ka tha safar raah pur-khatr
raushan kahi charaagh sar-e-rahguzar na the

vo din bhi kya the dil mein tamannaa na thi koi
takmeel-e-aarzoo ke liye dar-b-dar na the

sailaab-o-zalzale mein hue kitne ghar tabaah
vo log be-niyaaz rahe jin ke ghar na the

kuchh log mil gaye the yoonhi raah mein mujhe
jo mere saath saath the vo hum-safar na the

sab ne mera kalaam padha lekin ai saeed
jo mere naaqideen the vo deeda-war na the

अहबाब मिरे दर्द से कुछ बे-ख़बर न थे
ये और बात है वो कोई चारागर न थे

ताक़त थी जब बदन में तो दरवाज़ा बंद था
जब दर खुला क़फ़स का मिरे बाल-ओ-पर न थे

अंजान हम थे राह से मंज़िल भी दूर थी
अच्छा हुआ कि आप शरीक-ए-सफ़र न थे

इस वास्ते भी मुझ को तिरा ग़म अज़ीज़ है
जितने भी ग़म मिले वो ग़म मो'तबर न थे

तारीक रात का था सफ़र राह पुर-ख़तर
रौशन कहीं चराग़ सर-ए-रहगुज़र न थे

वो दिन भी क्या थे दिल में तमन्ना न थी कोई
तकमील-ए-आरज़ू के लिए दर-ब-दर न थे

सैलाब-ओ-ज़लज़ले में हुए कितने घर तबाह
वो लोग बे-नियाज़ रहे जिन के घर न थे

कुछ लोग मिल गए थे यूँही राह में मुझे
जो मेरे साथ साथ थे वो हम-सफ़र न थे

सब ने मिरा कलाम पढ़ा लेकिन ऐ 'सईद'
जो मेरे नाक़िदीन थे वो दीदा-वर न थे

- J. P. Saeed
0 Likes

Rishta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by J. P. Saeed

As you were reading Shayari by J. P. Saeed

Similar Writers

our suggestion based on J. P. Saeed

Similar Moods

As you were reading Rishta Shayari Shayari