ye kis ne tum se galat kaha mujhe kaarwaan ki talash hai | ये किस ने तुम से ग़लत कहा मुझे कारवाँ की तलाश है - J. P. Saeed

ye kis ne tum se galat kaha mujhe kaarwaan ki talash hai
jahaan main hoon tum ho koi na ho mujhe is jahaan ki talash hai

liye zauq-e-sajda mein dar-b-dar fira main ne paaya nahin magar
jahaan apne aap jhuke jabeen isee aastaan ki talash hai

na hai vasl ki koi aarzoo na to hijr ki koi guftugoo
jo shikaar ho gham-e-ishq ka usi raaz-daan ki talash hai

use do khabar ki vo aashiyaan jo hai soz qalb se zau-fishaan
ye suna hai main ne ki barq ko mere aashiyaan ki talash hai

mere shauq-e-deed ki aarzoo nahin chand phoolon ki justuju
mere rang-o-boo ke mazaak ko kisi gulistaan ki talash hai

mere dil mein gham ka jo khaar hai mera dil usi pe nisaar hai
jise mere dard ka dard ho usi meherbaan ki talash hai

kisi dil mein koi makin hai kisi dar pe koi jabeen hai
jahaan ho na koi mere siva mujhe us makaan ki talash hai

ये किस ने तुम से ग़लत कहा मुझे कारवाँ की तलाश है
जहाँ मैं हूँ तुम हो कोई न हो मुझे इस जहाँ की तलाश है

लिए ज़ौक़-ए-सज्दा में दर-ब-दर फिरा मैं ने पाया नहीं मगर
जहाँ अपने आप झुके जबीं इसी आस्ताँ की तलाश है

न है वस्ल की कोई आरज़ू न तो हिज्र की कोई गुफ़्तुगू
जो शिकार हो ग़म-ए-इश्क़ का उसी राज़-दाँ की तलाश है

उसे दो ख़बर कि वो आशियाँ जो है सोज़ क़ल्ब से ज़ौ-फ़िशाँ
ये सुना है मैं ने कि बर्क़ को मिरे आशियाँ की तलाश है

मिरे शौक़-ए-दीद की आरज़ू नहीं चंद फूलों की जुस्तुजू
मिरे रंग-ओ-बू के मज़ाक़ को किसी गुलिस्ताँ की तलाश है

मिरे दिल में ग़म का जो ख़ार है मिरा दिल उसी पे निसार है
जिसे मेरे दर्द का दर्द हो उसी मेहरबाँ की तलाश है

किसी दिल में कोई मकीन है किसी दर पे कोई जबीन है
जहाँ हो न कोई मिरे सिवा मुझे उस मकाँ की तलाश है

- J. P. Saeed
0 Likes

Dua Shayari

Our suggestion based on your choice

More by J. P. Saeed

As you were reading Shayari by J. P. Saeed

Similar Writers

our suggestion based on J. P. Saeed

Similar Moods

As you were reading Dua Shayari Shayari