mujhe paaniyon pe raqam karo
ki meri bisaat ghubaar hai
jo nishaaniyaan hain meri yahan
unhen bahr-e-gard mein zam karo
mere aansuon mere qahqahon
ko khayal-o-khwaab ka naam do
meri qurbaton ke ghane shajar
ko khizaan ka koi payaam do
ki nihaan isee mein firaar hai
ki meri bisaat ghubaar hai
मुझे पानियों पे रक़म करो
कि मिरी बिसात ग़ुबार है
जो निशानियाँ हैं मिरी यहाँ
उन्हें बहर-ए-गर्द में ज़म करो
मिरे आँसुओं मिरे क़हक़हों
को ख़याल-ओ-ख़्वाब का नाम दो
मिरी क़ुर्बतों के घने शजर
को ख़िज़ाँ का कोई पयाम दो
कि निहाँ इसी में फ़रार है
कि मिरी बिसात ग़ुबार है
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Jabbar Jameel
As you were reading Shajar Shayari Shayari