sacche dil se wa'da kiya ho aisa bhi to ho saka hai
us ka kya hai bhool gaya ho aisa bhi to ho saka hai
fitna-gar ka roop naya ho aisa bhi to ho saka hai
mujh se mil kar us se mila ho aisa bhi to ho saka hai
ishq mohabbat laag lagaavat shaayad is mein kuchh bhi na ho
sirf tumhein mehsoos hua ho aisa bhi to ho saka hai
aap mere qaateel kyoon-kar hon jhooth kisi ne udaaya hoga
aap ka chehra us jaisa ho aisa bhi to ho saka hai
ahl-e-baseerat dhoka kha kar gair ki baaton mein aaye hon
ghar ka bhedee koi raha ho aisa bhi to ho saka hai
pehle bhi abnaa-e-watan ne becha hai naamoos-e-watan ko
waqt ne khud ko dohraaya ho aisa bhi to ho saka hai
zo'm-e-hukoomat ne thukraaya rahbar-e-deen ki daawat-e-haq ko
us ka ye anjaam hua ho aisa bhi to ho saka hai
dil to aakhir dil hai yaaraan kab tak un ke roke rukta
pakka phoda phoot baha ho aisa bhi to ho saka hai
khatm-e-safar par ahl-e-masaafat itne kyun mayus hue ho
is manzil se safar naya ho aisa bhi to ho saka hai
सच्चे दिल से वा'दा किया हो ऐसा भी तो हो सकता है
उस का क्या है भूल गया हो ऐसा भी तो हो सकता है
फ़ित्ना-गर का रूप नया हो ऐसा भी तो हो सकता है
मुझ से मिल कर उस से मिला हो ऐसा भी तो हो सकता है
इश्क़ मोहब्बत लाग लगावट शायद इस में कुछ भी न हो
सिर्फ़ तुम्हें महसूस हुआ हो ऐसा भी तो हो सकता है
आप मिरे क़ातिल क्यूँ-कर हों झूट किसी ने उड़ाया होगा
आप का चेहरा उस जैसा हो ऐसा भी तो हो सकता है
अहल-ए-बसीरत धोका खा कर ग़ैर की बातों में आए हों
घर का भेदी कोई रहा हो ऐसा भी तो हो सकता है
पहले भी अब्ना-ए-वतन ने बेचा है नामूस-ए-वतन को
वक़्त ने ख़ुद को दोहराया हो ऐसा भी तो हो सकता है
ज़ो'म-ए-हुकूमत ने ठुकराया रहबर-ए-दीं की दावत-ए-हक़ को
उस का ये अंजाम हुआ हो ऐसा भी तो हो सकता है
दिल तो आख़िर दिल है याराँ कब तक उन के रोके रुकता
पक्का फोड़ा फूट बहा हो ऐसा भी तो हो सकता है
ख़त्म-ए-सफ़र पर अहल-ए-मसाफ़त इतने क्यूँ मायूस हुए हो
इस मंज़िल से सफ़र नया हो ऐसा भी तो हो सकता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jafar Raza
our suggestion based on Jafar Raza
As you were reading Dhokha Shayari Shayari